Latest News

Well done Modi

By News Desk Roman Urdu

September 27, 2019

“Abki baar phir Trump sarkar”, Modi ka America mein nara

Hyderabad : Hindustan ke Wazeer-e-Azam Narendra Modi ko jahan BJP aur is ki Haleef jamatein duniya ka taaqatwar tareen leader kehti thkti nahi wahein khud Modi  apne aap ko duniya ke sab se behtareen aur kamyaab tareen leader zahir karne ka koi mauqa nahi chodtay aur har mauqa se faida uthane ka junoon to unke sir par hamesha hi sawaar rehta hai.

Tashheer ke liye Modi ko Hindustan ka sab se kamyaab leader maana jaane laga hai yeh hi wajah hai unke mutaliq kaha jata hai ke woh Hindustan mein ganjay ko bhi kangha bechnay ki salahiyat rakhtay hain aur be-charah ganjah Modi ki tashheer ke baad is umeed mein kangha khareed letay hain ke achay din ke atay hi is ke sir par baal bhi ajayeen ge aur jab baal ayenge to kangha zarori hojayega.

Tashheer ke maahir Modi ab Hindustan ke alawa beron mulk bhi apni tashiri tijarat ko farogh day rahay hain jaisa ke sab neh dekha ke woh America ke programme mein wahan ke sadar donald Trump ke liye vote mangte nazar aaye. Modi ab America mein apni is mahaarat ki tashheer karte nazar aaye.

Yeh alag baat hai ke kisi mulk ke Wazeer-e-Azam ki taraf se dosray mulk mein jaakar wahan ke leader khaas ko vote dainay ki appeal karna, iske apne hi mulk ki kharja policy ki khilaaf warzi maana jayega lekin shayad Modi  ko iski koi fikar nahi hai kis zabita ki khilaaf warzi hoti ho woh to tareekh raqam karne ki raah per sar par daudh rahay hain khuwa isse mulk ka Waqar hi kyun nah majrooh ho jaye.

Har mulk ki apni kharja policy hoti hai jis ke tehat hi ghair mumalik se taluqaat, hukoomati doray, muahiday, safarti taluqaat aur deegar hakoomati umoor anjaam diye jatay hain lekin shayad yeh pehli martaba hua hai ke Hindustan ka koi Wazeer-e-Azam apni hi kharja policy ki khilaaf warzi karte hue dosray mulk mein jaakar wahan ke sarbarah mumlikat ko dobarah Iqtidaar saumpney ke liye vote mangta nazar aaya ho.

America ke Houston mein Hindustan ke wazeer-e-azam Narendra Modi neh khuwa wahan ke saddar Donald Trump ke hamion ki khoob wah wah aur shabashi haasil ki ho lekin mulk ka ek bada tabqa Modi  ke is qadam ko ek taaqatwar mulk ke samnay dosray taaqatwar mulk Hindustan ki qadro manzilat kam karkay paish kiye jaane se mayoos nazar araha hai.

Itna zaroor hai ke Amrici sadar Donald Trump aur Narendra Modi  ki Houston mein hui mulaqaat ko siyasi dosti ka haq poora karne ke mutradif qarar daal ya jasakta hai aur Trump ne bhi apni tamam masrofiyat ko baalaye taaq rakh kar is siyasi dosti ka poora haq ada kiya aur karna bhi chahiye kyunkay inhen apne Iqtidaar ki kursi khisakti mehsoos horahi hai isi liye woh ek martaba phir ohda sadarat haasil karne ke liye kuch bhi karne ko tayyar hain.

Sadar Trump neh Houston ke Howdy Modi  programme mein shirkat kar ke 2020 ke Amrici sadaarti intikhabaat ke liye hind nazaad americion ke vote mazboot karne ki koshish ki hai. Howdy Modi programme darasal dono qaideen ke darmiyan honay wala bara aapsi moahida hai jis ke liye munazzam tareeqa se tayari ki gayi thi. NRG  football stadium mein mubayyana tor par 50 hazaar hind nazaad americion ko jama karne ke liye hafton nahi balkay mahino pehlay tayari karte hue ek ghair mulki sir zameen par Modi ki maqboliat ka muzahira kiya gaya.

Is programme ke ineqad ka maqsad Modi  aur Trump dono ke siyasi mustaqbil ko mazboot banana tha. isse pehlay bhi New York ke medicine square garden par Modi ke liye jalsa munaqqid kiya gaya tha. is mein koi douraye nahi ke is tarha ke shandaar jalsay bain ul aqwami diplomacy, gharelo siyasat aur siyasi tafreeh ka hissa hotay hain.

Ek janib Modi  neh apne mulk mein jari muashi bohraan ki badnami se bachanay ke liye America ki sarzamen ka sahara liya to wahein doosri janib Amrici sadar Trump ko doosri meyaad ke liye muntakhib karwane ke liye sadaarti intikhab ki muhim ka amlan aaghaz kiya gaya hai. hind nazaad americion mein Trump ki maqboliat ka saboot dainay ke liye bhi Howdy Modi  programme ko ek ahem zareya banaya gaya.

Modi  is jalsa ke zareya Trump ko yeh yaqeen dilana chahtay they ke hind nazaad americion ke vote un ke hi haq mein honge aur is liye Modi  apni taqreer mein bhi kehte nazar aaye ke ab ki baar phir Trump sarkar. yeh programme waqai is baat ka saboot day chuka hai ke Trump ke liye aindah intikhabi kamyabi ko yakheeni bananay koshish ki jayegi.

Hind nazaad americion ke vote Trump ki doosri meyaad ke liye kaam ayenge lekin Narendra Modi  neh kiya yeh bhi socha hai ke unke is qadam se Hindustan jaisay azeem mulk ki saakh par kiya asar padega, mulk ki kharja policy ko dosray mumalik ke log kis rukh se dekhenge? yeh kehna ghalat nahi hoga ke Hindustan ke crores awam neh jis Narendra Modi  ke sar par wizarat-e-Uzma ka taj sajaya tha, isi Narendra Modi  neh ghair mulk mein jaakar ek fard khaas ki tashheer karkay apni kharja policy ki dhajiyan uda deen.

Hindustan ki 70 sala tareekh mein pehli martaba aisa hua ke mulk ka wazeer-e-azam dosray mulk jaakar kisi khaas umeed waar ka, is ki party ke liye khil kar intikhabi muhim chalaye. is par opposition partiyon neh sakht rad-e-amal ka izhaar karte hue kaha hai ke Hindustan hamesha ghair janabdaar raha hai, mulk ki kharja policy ka taayun pandit nehru ne, Indra Gandhi ne kiya tha. duniya bhar mein is programme par behas ho rahi hai, log tanqeed kar rahay hain ke Hindustan ke wazeer-e-azam ghair mulk mein jaakar wahan ek khaas siyasi party aur iss ke leader ke liye muhim ka kaam kiya hai.

Is ke kiya maienay hain yeh bhi qabil tavajja hai ke agar aindah saal America mein honay walay intikhab mein doosri party ka umeed waar sadar bangaya to is ki nazr mein Hindustan ki kiya hesiyat hogi, is ke rishte hamaray mulk ke sath kaisay rahenge aur Narendra Modi  is se kaisay aankhh mila payenge, is ka koi tasawwur bhi nahi karsakta hai.

Zaati dosti apni jagah hoti hai aur kharja policy apni jagah. Modi  aur trump ka khandan ta-umer apni dosti nibhaaye, is par kisi ko aiteraaz nahi hona chahiye lekin mulk ki numaindagi karne walay wazeer-e-azam neh is tarha se wahan jo intikhabi muhim chalanay ka kaam kiya hai usay koi bhi Muhib-e-watan munasib nahi tehra sakta. America aur Hindustan ke darina taluqaat rahay hain lekin ab Modi  aur Trump ke zaati siyasi mafadaat neh dono mumalik ke darina rawabit aur dostana taluqaat ko ek naya rukh day diya hai.

America mein ghair muqeem hindustaniyoun ka siyasi wazan bhi badh raha hai. iske sath America mein intikhabi aitebaar se hindustaniyoun ke asar ko pehlay se ziyada ahmiyat di jarahi hai. America mein Trump ki republican party ko inteha pasand siyasat ka chehra maana jata hai jabkay opposition Democratic party ka rujhan secular bataya jata hai aur hind nazaad americion ki aksariyat ka jhukao bhi ziyada tar democrates ki taraf dekha gaya hai lekin Modi  Trump ki siyasi dosti neh is jhukao ka rukh Republican party ki taraf khaas kar Trump ki janib karne ki koshish ki hai aur Howdy Modi  programme bhi is siyasi koshish ka hissa hai.

America mein taqreeban 3 million ghair muqeem hindustani abadi hai jo America ke liye teesri badi taaqat samjhi jati hai. kal tak yeh ghari muqeem hindustani congress ke tarafdar they, ab BJP ya sangh pariwaar un ghair muqeem hindustaniyon ka rukh badalne ki koshish kar rahay hain. kiya is ke liye Narendra Modi  ka intikhab kiya gaya hai jinhein Hindustan mein siyasi marketing mein maahir maana jata hai.

Agar aisa hai to shayad Trump ko apne faislay par nazarsani karna padegi kyunkay aam log ab samajh chuke hain ke unki bhalai kis mein hai aur isi liye unhon neh intehaa pasand siyasat ko thikaanay laganay ka faisla karliya hai. iski shuruvaat Israel se ki gayi jahan falastineyoun ke khoon par siyasat karkay kayi saal tak yahudion par raj karne walay Netanyahu har tarha ke hathkande apnane ke bawajood iqetdar se taqreeban bahar hogaye hain. –YTN STAFF