Hyderabad: Wazeer e aala K Chandrashekhar Rao ney jumaraat ko Palamur lift aab paashi project ke tehat ahem zakheera samjhay janay walay Karivena Project ka daora kiya. Unhon ney hawai surway ke zariye, kamon ka mounaa kiya, aur mutaliqa ohdedaron, engineers aur work agencies ke sath kamon ki paish Raft ka jaiza liya.
Baad azan wazeer e aala ney engineeron aur work Agencies ko hidaayat ki ke woh aabi zakhair se mutaliq kaam jungi buniyadon par mukammal kiye jayen. Unhon ney kaha ke mojooda kamon ko rozana teen shifton mein bila ta-attul karne ki zaroorat hai aur is ki taamer jald se jald mukammal ki jani chahiye. Unhon ney yeh bhi kha ki kisi ko bhi adayigion ki fikar karne ki zarorat nahi hai.
Wazeer e aala ney kaha ke chunke Kaleshwaram Project ka kaam taqreeban mukammal ho chuka hai, lehaza Palamur Ranga Reddy Lift aab paashi project par tavajja di jani chahiye. Taizi se kamon ki takmeel ke liye, mara-aat ka elaan kiya jaye ga aur agli manson tak yeh kaam mukammal kiya jayega taakay kisanon ko pani dastiyab ho sakay. Phir wazeer e aala KCR Helicopter ke zareya Vetam project ke liye rawana ho gaye.
Un ke hamrah wazeer Niranjan Reddy, Srinivas Goud, MP Santosh Kumar, Joginapalli, Srinivas Reddy, Ramalu, muqami rukan assembly ala Venkateshwar Reddy,Kodangal ke rukan assembly Narendra Reddy deegar awaami numainday, CMO Secretary Samitha Sabharwal, Irrigation ENC Muralidhar Rao, CE Ramesh Kumar mojood they.