India

Waseem Rizvi ne Owaisi ka Baghdadi se mawazna kiya

By News Desk Roman Urdu

November 17, 2019

Bullia: ‫UP Shia Waqf Board ke Chairman Waseem Rizvi ne All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen (AIMIM) ke sarbarah Asaduddin Owaisi par sakht hamla karte hue, unka dehshat gard Islamic State ( ISIS) ke sabiq sarbarah Abu Bakr-al Baghdadi se mawazna kiya hai. Rizvi ne ilzaam lagaya hai ke Owaisi apni taqarir ke zareya Musalmanoun ko dehshat gardi aur khoon-rezi ki taraf Raghib kar rahay hain.

Unhoun ne kaha ke ”aaj Abu bakr-al Baghdadi aur Asaduddin Owaisi may koi farq nahi hai. Baghdadi ke paas ek fouj aur asleha aur golah barood tha, jo wo dehshat phelanay ke liye istemal karta tha, Owaisi apni ”Zabaan“ ( taqarir ) ke zariye dehshat pida kar rahay hain. wo musalmanoun ko dehshat gardi aur khonrizi ki karwaiyoun ki taraf raghib kar rahay hain. ab waqt agaya hai ke is par aur Muslim Personal law Board par pabandi lagai jaye“.

Ayodhya tanaza Case may Supreme Court ke haliya faislay par All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ke sadar Asaduddin Owaisi ki janib se izhaar khayaal ke baad Waseem Rizvi ke tabsaray samnay aaye hain. Owaisi ne Ayodhya tanaza se mutaliq Supreme Court ke faislay par adam itminan ka izhaar kiya hai.

Rizvi apne, BJP  ke haami muaqqaf ke liye jaanay jatay hain, aur haal hi may unhoun ne Ayodhya may Ram Mandir ki taamer ke liye 51, 000 Rupiye ki imdaad di hai. aur unhoun ne Ayodhya maamla par Supreme Court ke faislay ka kher maqdam bhi kiya hai. -YTN STAFF