Lacknow: Uttar Pradesh ke mutadid shehroun ki khabrain pareshan kin hain aur un khabroun mein police tashadud ki jo tasweer samnay ayen wo intahi khofnaak hai. Muzahireen ki taraf se tashadud bhi huva aur patharbazi bhi ki gayi, Lekin wo muzahireen hi they ya baahiri loog un mein shaamil hogaye they ye ek tafteesh ka pehlu hai. Delhi mein media lambay lambay Interviews lainay mein masroof hai lekin Muzaffarnagar aur Bijnor se anay wali it-tila-aat bata rahi hain ke un Interview ke bajaye un reports ko mazeed jagah dainay ki zaroorat hai. Sahafi Saurabh ki report se pehlay, Hum ek aur report se ek qissa ka zikar karna chahtay hain.
Scroll India se mutaliq Supriya Sharma ki report ka aaghaz 55 sala Rafeeq Ahmed ki kahani se hota hai. Rafeeq Ahmed ek thekedaar hain aur ilaqay ke loog inhen pehchante hain. 20 decemeber ko Masjid se bahar anay ke baad police ne kaha ke aap loogoun se appeal karen. Police ke kehnay par Rafeeq ne inhen ke Loudspeaker se aman barqarar rakhnay aur ghar jaany ki appeal ki jabkay un ke mutabiq is ki zaroorat nahi thi kyunkay yahan 100 afraad bhi jama nahi they. Rafeeq Ahmed ne dekha ke bohat se loog saada libaas mein khaday hain. Jab unhoun ne police se poocha to jawab nahi mila. Jab wo wapas jaany lagey to unhoun ne ansoo gas ke golay ki aawaz suni aur lathyan un ke sar se takrana shuru ho gayeen. Koi pathar nahi phenka gaya tha, Is ke bawajood police ne lathi charge kiya. Ye waqea Nathore ke neza saraye ilaqa ka hai.
UP Police ke sarbarah ne 21 decemeber ko kaha tha ke UP Police ne koi goli nahi chalaye lekin ab ye maan liya hai ke goli chali hai. Bijnor mein 2 afraad ki mout hui hai. SP Bijnor ne aitraaf kiya hai ke 20 sala taalib ilm Sulaiman ki goli lagnay se mout hui hai kyunkay police ke jawan ne apne difaa mein goli chalaye thi agar yahi baat hai to police sarbarah ne ye kyun kaha ke police ne koi firing nahi ki aur muzahireen ek dosray ki firing se halaak hue hain.
Muzaffarnagar mein tashadud ki kahani ne ek naya moud leliya hai. Wahan muzahireen par firing kis ne ki, Makanaat aur dukanoun ko kis ne lota, Kiya deegar tanzeemoun ke loog tashadud ki niyat se muzahireen pargoli chalanay aeye they, Kiya inhein police ki pusht panahi haasil thi? Scroll.in ki Supriya Sharma ne congress ke sabiq rukan parliament Saeed Al-zama ke betay se baat ki hai. Unki 4 Car nazar aatish kar di gayi hain. Un ka ilzaam hai ke police aur Singh ( RSS ) ke loogoun ne tashadud kiya.
Saurabh Shukla ne kaha hai ke Muzaffarnagar ki sorat e haal ye zahir karti hai ke police ne toad phode ki hai. Ye sab harkaat camera mein qaid nah hon is liye CCTV camera toad diye gaye hain. Aakhir police ko CCTV camera todnay ki zaroorat kyun padi?
Agar police ke davoun mein sachaai hai to phir wo CCTV camera kyun toad rahi hai, Kya police ne aisa kuch kiya hai jis ke barey mein baat nahi ki jarahi hai aur is ke barey mein baat karne ke saboot bhi baqi nahi rahay! loog dar ki wajah se baat karne se bhi qassar hain. Rahul Gandhi aur Priyanka Gandhi Meerat jaakar zakhmioun se milna chahtay they lekin inhen janey ki ijazat nahi di gayi. Police ke davoun par sangeen sawalaat uth chuke hain.
Muzahireen par tashadud ka ilzaam aed karna aasan hai lekin police ke tashadud ka kiya? Agar dosray afraad police ki mojoodgi mein muzahireen ke khilaaf tashadud karte hain to phir wo kon hain? Kya tashadud bhadhkaya gaya taakay karwai ka bahana mil jaye? Is ki tafteesh kaisay hogi aur agar hogi tu kab taq jari rahay gi? Banaras, aur Lacknow deegar kayi shehroun mein mutadid loogoun ki giraftari ke barey mein bhi sawalaat uthaye jarahay hain.
Nazam o nasaq sanbhaalna police ki zimma daari hai lekin bohat saari videos aisi bhi manzar aam par aa rahi hain jin mein loog par sukoon andaaz mein chal rahay hain aur police achanak peechay se lathi charge karne lagti hai. Kahin loog sadak ke kinare khaday hain police inhen pakarkar zadokob karne lagi hai. 2 police ahelkaar 1 shakhs ka haath thamaay hue hain, 2 lathyoun se pait rahay hain. Kabhi 3 police ahelkaar lathyan chala rahay hain aur kabhi 2 police walay lathi se maar rahay hain. Itnay qareeb se itnay zor se maarny ki kiya zaroorat thi.
Hum ne ginti ki hai. Ek video mein 16 lathyan record hui hain aur is ke baad camera ka rukh badal jata hai. Hamein andaza bhi nahi ke ab is shakhs ki haalat kiya hogi. Itni lathi khanay ke baad usay kon se hospital mein daakhil kiya jaye ga, Sahetyab honay mein kitna waqt lagey ga. Ye video Kanpur ke ilaqay BaabUPura thaana ilaqa ki hai aur 20 decemeber ko record ki gayi thi. Is tashadud mein police ne loogoun ko pakar kar zad o kob kiya. Yahan ke 3 loogoun ki tashadud mein mout hogayi. Police ki is terhan ki bar bariat ki videos Whatsapp mein kaafi gasht kar rahi hain, U
n videos mein police ki karwai ne khauf o hraas phela diya hai aur police ko is terhan tashadud karte hue dekhnay par lagta hai ke is ka maqsad sirf nazam o nasq ki soorat e haal behtar karna nahi tha balkay kuch aur tha.
UP police ke sarbarah O P Singh ne kaha ke police ne koi goli nahi chalaye thi. Jabkay goli se hi 15 se 16 afraad halaak hogaye hain. Media mein goli se halaak honay walay afraad ki tadaad kahin 15 hai to kahin 18 bhi hai. Police ne kaha tha ke 50 se ziyada police ahelkaar ko goli lagi hai ya wo zakhmi hue hain. 22 decemeber ko jab sahafi Alok ne police chief O.P Singh se baat karne ki koshish ki to unhoun ne kaha ke aap jo bhi chalana chahtay ho chala satke hain. 21 decemeber ko UP police Chief ka bayan hai ke police ne koi Firing nahi ki aur ek goli bhi nahi chalaye gayi. Muzahireen aapas mein Firing ki wajah se halaak ho gaye!
Kanpur mein 30 sala Mohammad Rayees intqaal kar gaye hain. Jummay ko Rayees ko goli maar di gayi thi. Rayees Baabopura ilaqay mein mazdoor ki hesiyat se kaam karte they. Intizamia ka koi fard un ke waalid se milnay nahi diya gaya. Sobhashni Ali Mohammad Rayees ke waalid ke paas gayi then .
Sirf yahi nahi, Loogoun ki giraftaryoun par bhi sawalaat uthaye ja rahay hain. Talbi , samaji kaarkunoun aur aam loogoun par bohat si sangeen daf-aat aed ki gayi hain. Aisi shikayaat aarahi hain ke police giraftar afraad ko qanooni aur deegar sahuliyaat ki farahmi mein rakhna daal rahi hai. Zahir hai ke police ye kahay gi ke is ki taraf se koi rukawat nahi hai. lacknow mein jin loogoun ki giraftari hui hai un mein Deepak Kabeer bhi shaamil jo kay Theater ke adakar hain. Jab wo apne dostoun ke baray mein pata karne ke liye thaanay gaye to inhen bhi giraftar kar liya gaya.
Muzahirey mein Deepak Kabeer aur un ki ahliya shaamil they lekin is din unhein giraftar nahi kiya gaya balkay aglay din un ka naam FIR mein jood diya gaya. Un par qatal aur fasaad bhadkanay ke ilzamaat aed kiye gay hain.
Shehriat Tarmeemi Qanoon ki himayat mein bhi jalsay aur juloos ja ree hain. Kuch maqamat par un himayati jolosoun mein goli maarny ke naaray ho saktay hain. Lekin police ko un ki goli maarna fasaad ko bhadkanay ya uksanay wala nazar nahi aata hai. Shayad un hamioun ke mun se nikal rahi golioun ke naaroun mein usay shairi nazar aati hai. Delhi mein BJP rehnuma aur Getyar mein bhi ABVP rehnuma ki goli maarny ke naaroun wali video dekhi gayi hai.
Ye video Bihar ke Darbhanga ki hai, Jahan shehriat tarmeemi qanoon ki himayat mein ek rally nikaali gayi thi. Is rally mein kuch loog chonkey le kar kiya kar rahay they? kiya talwar hathyaar nahi hai? kiya qanoon kisi firqa ko talwar se muzahira karne ki ijazat deta hai? Is rally mein Darbhanga Nagar se BJP ke MLA Sanjay solanki aur MLC Arjun Swami ne bhi shirkat ki. Lekin koi nakhushgawaar waqea pesh nahi aaya. Algaraz wardi ke saharay jo takhreeb kaari horahee hai wo ittifaqi karwai nahi balkay ek suche samjhi saazish ka hissa hai. –YTN STAFF