Hyderabad: Waqt se pehlay kai ke aam jee yeh! yeh jumla is waqt hyderabadi khawateen aur khaas kar maoon ke zabanon par mojood hai kyunkay phalon ke badshah aam jo aam tor par mausam-e-garma mein bazaar ki zeenat banta hai lekin is martaba aam sardiyoun ke khatam honay se pehle he dastiyab hochuka hai jiski wajah se awam may ek khisam ki tashweesh payi jarahi hai, halanke aam wah awam mein aik qisam ki tashweesh payi jarahi hai halaank aam ke shoqeen afraad ke liye iski jald aamad khushi ki baat hai.
Aam se mohabbat karne walon ko bohat khushi hui ke phalon ke badshah aam mamool ke mausam se qabal hi shehar ke bazaaron mein pohanchna shuru hogaye hain. mamool ke season se lag bhag 2 mah qabal poooray shehar ke baazaaron mein aam nazar aarhay hain agarchay ke unki miqdaar thodi aur qeemat ziyada hai. phal baichnay walay miyaar ki bunyaad par aam ki pehli aamad ki qeemat 100 se 200 rupay fee kilogram muqarrar kar chukay hain, taham aam se mohabbat karne walon ke liye ye qeemat rukawat nahi lag rahi hai kyunke aam farokht karne wale keh rahe hai ke unke liye aam ki taijarat sood mand sabit horahi hai.
Waisay to shehar ke har Maroof chorahe aur sadak ke kinare kinare aam mojood hain lekin kaha ja raha Erragadda market mein ziyada maang hai. Kuch phal farosh is mausam mein phal ki ibtidayi aamad ko bhaari barish ka sabab qarar rahay hain. Umeed ki jarahi hai ke aam ki jald aamad ke paish-e-nazar aanay wala aam ka mausam guzashta season se kahin behtar hogaya hai, halaanke is waqt qeemat bohat ziyada dikhayi deti hai lekin tawaqqa ki ja sakti hai ek martaba jab sarabahi behtar hogi aur mazeed stock sheahr may aaega to qeemat may khud ba khud kami hogi.
Hyderabad mein aam tor per aam March ke aakhir tak mlitay hain. Be-nishaan, totapari aur daseri jaisay mutadid aam bazaar mein hain jo aam tour par bazaar mein pehlay pahunchte hain. Faroshon ne bataya ke grade 1 aam 200 rupay fee kilotak farokht ho raha hai, jabkay grade 2 aam 100 se 150 rupay fi kilo mein dastyab hai. Ek aam farosh ne kaha hum inhen ziyada qeemat par dealers se khareed rahay hain aur sarfeen ke liye qeematein kam nahi kar saktay hain kyunkay hamein nuqsanaat ka saamna karna padega.
Aam phoolnay ka amal November aur decemeber mein shuru hota hai aur aam ka pakna kuch hafton tak hota hai. Jo aam shehar mein garmiyon ke douran dastyab hotay hain woh ziyada tar Kolhapur, Anantapur, Khammam aur Telangana Aur Andhra pradesh ke deegar ilaqon se aatay hain.