Latest News

Visit visa par anay waloun ko Saudi may gadi chalanay ki ijazat

By News Desk Roman Urdu

November 15, 2019

Riyadh: Saudi Arab ne Visit Visa per anay waloun ke liye wasee albunyad sahulatoun ka elaan kiya hai jin may International Driving License par Saudi Arab may gaadi chalanay ki ijazat bhi shaamil hai.Visit visa par Saudi Arab anay waloun ko ye sahoolat bhi khud car tareeqay par haasil hogayi hai ke wo International Driving License par Saudi Arab may gaadi chala satke hain.

hazaroun musafirien jahan fazai aur samandari rastay se atay hai wahein zameeni rastay se bhi Saudi Arab atay hain. tafseelaat ke mutabiq Visit Visa par anay walay agar Traffic khilaaf warzi ke murtakib honge to Saudi Traffic qanoon unpar be nafiz honge. mehakma Traffic ne wazeh kiya ke agar kisi bhi qisam ke Visit Vis

a par anay walay ne koi Traffic khilaaf warzi ki hogi to wo is waqt tak Saudi Arab se bahar nahi ja sakta jab tak is khilaaf warzi ka jurmana ada na kardey.

Saudi mehakma Traffic ne Visit visa par mumlikat anay waloun se appeal ki ke wo Traffic qawaneen ki pabandi karen taakay khilaaf varzyon ki soorat may jurmane aur qaid ki saza se mehfooz rahen. mehakma Traffic ne twitter par tawajah dilaye ke Saudi Arab may Traffic khilaaf varzyoun ka indraaj khud car nizaam ke tehat ho raha hai. agar kisi ne koi Traffic khilaaf warzi ki to Visit Visa par anay walay ku Saudi Arab se wapsi se qabal jurmane ada karna hon ge.

ilawa azeen Saudi mehakma Traffic ne kaha hai ke Driving ke liye License hamrah rakhna zurori hai. mehakma Traffic ke mutabiq License ki meyaad khatam hojane se qabal hi is may towsee karwana laazmi hai. License ke gadi chalana ya zayed almeyad License ke sath gadi chalanay par jurmana hai. jo shakhs be zayed almeyad License ke sath gaadi chalayega is par 300 ta 500 Riyal tak ka jurmana aed hoga.

mehakma Traffic ne mazeed kaha ke mo-asar License ke baghair gaadi chalana jurm hai. Khawateen-o-mard dono ko jurmane ki saza hogi. jurmana License khatam honey ki tareekh ke 60 roz baad shumaar kiya jayega. mehakma Traffic ne mazeed kaha ke traffic ohdedar aur saaher System ke tehat khilaaf warzi par kam az kam jurmana record kiya jata hai taham makhsoos halaat may intahi jurmane se bhi shuruvaat ki ja sakti hai. intahi jurmane ka faisla wazeer-e-dakhila ki janib se qaim kardah Committee hi kar sakti hai. agar kisi ne Driving License haasil kiye baghair gaadi chalaye ya is se Driving License zabt kiye jane ke baad gaadi Drive ki ya Break aur Lights ke baghair gaadi chalaye ya khud sakhta Number Plate istemaal karkay gaadi chalaye to un tamam sooratoun may bhaari jurmana hoga jo 1 hazaar taa 2 hazaar Riyal ke darmayan wusool kya jayega. –YTN STAFF