Hyderabad : Duniya ke sab se baaray jamhoori mulk Hindustan mein lok sabha intikhabaat mein shandaar kamyabi ke baad Wazeer-e-Azam Narendra Modi phir ek martaba aisa naara diya hai jo alfaaz ke aitbaar se kaafi purkashish lag sakta hai lekin haqeeqat itni aasaan nahi. 2014 ke intikhabaat sab ka sath sab ka vikas ke naare par ladey gaye they aur is naare ko Hindustan ke intahaa pasand aur secular pasand sabhi afraad ne pasand karte hue BJP ki himayat ki thi lekin 2014 se 2019 ki meyaad mein BJP ne vikas ( taraqqi ) ka koi kaam hi nahi kiya balkay un 5 barsoun mein hindustani maeeshat aur tahazeeb wo tamaddun ko aisay nuqsanaat pohnchaye jis ka azaala namumkin hai. Narendra Modi ne guzishta intikhabaat mein sab ka sath sab ka vikas ka jo naara diya tha woh aksar nakaam hua kyunkay note bandi aur GST se jahan hindustani maeeshat ko tabah o barbaad kiya gaya to doosri janib hungame tashadud aur gao kashayi ke naam par aqliton ko zulm wo sitam ka nishana banaya gaya aur is mein bhi aksariyat musalmanoun ki rahi jinhein mout ke ghaat utaara gaya .
June 2014 mein Pune ke 24 sala mohsin Sheikh ko mout ke ghaat utaarnay ka waqea BJP ke Iqtidaar mein anay ke ek mahinay ke andar runuma honay wala afsos naak waqea tha, yeh ek waqea nahi jahan musalmanoun par zulm ka pahar toota balkay yeh ek kabhi khatam nah honay walay zulm ki daastaa’n ka pehla baab raha kyunkay is ke baad Hindustan ke taqreeban har konay mein mein kisi nah kisi mauzo par musalmanoun ko tashadud ka nishana banaya gaya aur kayi nojawanoun ko mout ke ghaat utaara gaya jis mein khaas kar gao kasha ke naam par musalmanoun ko hungame tashadud ke zariye mout ke ghaat utaarna Hindustan ki ek rivayet ban chuki hai .
BJP ke 2014 mein barsar Iqtidaar anay ke darparda bhi is ke aqliton ke khilaaf zulm ki dastaneen moujood hai jis mein khaas kar 2002 Gujrat fasadaat hain kyunkay yahi woh fasadaat they jis ne Modi ko hinduo ke dilon par raaj karne wala hukmaran ke tor par paish kiya aur yahi woh waqeat they jis ne Hindustan mein BJP ke hukoomat ki raah ko hamwar kiya hai agar yun kaha jaye ke agar 2002 ke Gujrat fasadaat nahi hotay to shayad 2019 tak BJP hukoomat aur Iqtidaar ki kursi par Faiz nahi hoti. 2002 gujrat fasadaat se le kar 2014 mein BJP ke Iqtidaar mein anay tak is ki zulm wo ziyad-ti ki ek taweel daastaa’n hai jis ki wajah se Time Magazine ne bhi apne haliya suhmare mein Wazeer-e-Azam Narendra Modi ko ”Divider in Chief“ ka naam diya hai .
Time Magazine ne wazeer-e-azam Narendra Modi ko yeh khitaab is liye bhi diya kyunkay unkay douray hukoomat mein aqlitein kamzor aur be-yaaro madadgaar bankar reh gayi. musalmanoun ke khilaaf Hindustan bhar mein mansoobah band tareeqa se zulm wo zayad-ti ke tareeqay ikhtiyar kiye gaye jis mein agar sirf bengal ka hi tazkara kiya jaye to yahan BJP ne pachaas hazaar se ziyada Whatsapp groups banaye aur un social media groups ke zariye Bangladeshi aur Rohingya musalmanoun ko nishana banaya gaya. BJP ne Hindustan mein musalmanoun ko nishana bananay ke alawa padosi mulk Pakistan ke sath bhi kayi ek waqeat ko apne mafadaat ke liye istemaal karne aur musalmanoun ke khilaaf apni sazishon ko amli jama pehnanay ke liye bhi istemaal kiya hai jis mein khaas kar ke is ne fazai hamlay ko apne liye asal hathyaar banaya. Pakistan ke khilaaf jo fazai karwai ki gayi thi is mein BJP ne apni bahaduri ke charchoun ki tashheer har gooshay mein ki lekin opposition congress ne jab is fazai karwai ki haqeeqat aur is ke adaad wo shumaar ka mutalba kiya to is par mulk se mohabbat ka sawalia nishaan laga diya gaya. yahi nahi balkay Hindustan mein guzashta 47 barson se maeeshat ki tabahi, kisanon ki khudkushi aur be rozgari ke masail ko bhi Pakistan se hi joda gaya, kyunkay ke Pakistan ke khilaaf muaqqaf ikhtiyar karte hue hindustani musalmanoun ko bhi aasani se nishana banaya ja sakta hai .
Hindustan mein musalmanoun ki haalat sab par ayaan hai. Hindustan ki jumla abadi mein musalman 15 feesad hain jabkay sarkari mulazimatoun mein unki moujoodgi sirf do feesad hai jabkay har guzarnay walay waqt ke sath sath sarkari mulazimatoun mein unki numaindagi mazeed ghat-ti chali jarahi hai, yahi nahi balkay qanoon saaz idaron assemblion aur parliment mein bhi unki numaindagi ka graph mazeed neechay girta ja raha hai .
2014 taa 2019 ke daur Iqtidaar mein BJP ne jo baday waday kiye they un mein woh intahi nakaam rahi jis ke bawajood hindustani awam ne inhen phir ek martaba hukoomat ka mauqa diya hai jis ke baad Wazeer-e-Azam Narendra Modi ne ek naya naara dete hue sab ka sath sab ka vikas ke baad sab ka vishwas bhi kaha hai lekin musalmanoun ka vishwas ya bharosa haasil karna unke liye itna aasaan nahi hoga. ek janib woh apne aaqaoun ke khilaaf bilkul nahi ja satke kyunkay unke aaqaon ka bunyadi nazriya musalmanoun ke khilaaf hi hai aur khud wazeer-e-azam Narendra Modi musalmanoun ke khilaaf apne hindu vote bank ko mazboot karte hue Iqtidaar ki kursi par puhanche hain agar woh musalmanoun ke sath bhalai ka kaam karte hain to kis tarhan woh apne aaqaoun ke sath apna taluq behtar bana payenge?
Yogi Adityanath , sadhvi pragya aur Giriraaj jaisay kayi leadron ko musalmanoun ke khilaaf tayyar kar rakha hai. sadhvi pragya jo ke intikhabaat mein hissa lainay se pehlay Malegoun dehshat gard hamlay ke muqadmay mein makhoz thi inhen na sirf bhopal ke parlimani halqay se intikhabaat ladhwaya gaya balkay woh yahan se kamyabi bhi hui hain. intikhabaat ke shandaar nataij ke baad BJP saddar Amit Shah ko wazeer-e-dakhla banaya gaya halaanke woh bhi Sohrab uddin Sheikh aur unki ahliya ko mout ke ghaat utaarnay ke muqadma mein mubayyana tor par mulawis rahay hain. Amit Shah ko ek waqt Supreme court ne Gujrat mein dakhlay se bhi rok diya tha. aqlitoun aur khaas kar musalmanoun ke khilaaf zulm wo zayad-ti aur tashadud ki ek na khatam honay wali dastan moujood hai aur un karwaiyoun ko anjaam denay walay leadron ko baday ohdoun par Faiz karte hue pehlay hi aqlitoun ke khilaaf apne mansooboun ko zahir kar diya gaya hai .
In halaat mein Wazeer-e -Azam Narendra Modi ka sab ka sath sab ka vikas aur sab ka vishwas ka jo naara hai woh bhi ek propaganda se badh kar kuch nahi dikhayi nahi deta kyunkay yeh alfaaz ada karna kaafi aasaan hai lekin un par amal aawri intehai mushkil tareen aur sakht imthehaan se guzarnay ke mutradif hai jo Wazeer-e-Azam Narendra Modi ke liye aasaan nahi hoga. algaraz yeh to anae wala waqt hi batayega ke Wazeer-e-Azam Narendra Modi 2014 mein kiye gaye wadoun ko mukammal nahi kar paye woh kis tarhan 2019 ke wadoun ko poora kar payenge ? -YTN STAFF