Health

Vajpayee ko Pakodoon ke sath Biryani aur Haleem bhi Aziz thay!

By Abdul Aziz

August 17, 2018

Doston ko Vajpayee ka gulab jamun par se dhiyaan hataane Madhuri Dixit se mulaqaat karwany padi. Woh jahan bhi jatay muqami pakwanon ko zaroor chahkte. Apne ghar par doston ki tawaza apne hathon tayyar dishes se bhi kya karte thay.

Hyderabad. Aanjhani Wazeer e Azam Atal Bihari Vajpayee lazzat kaam o dahan ke baday dildada they. Woh pakodoon ke shuqeen to thae hi magar unhen Hyderabadi Biryani aur Haleem bhi bohat Aziz thi aur lkhno ke Galoti Kebab bhi inhen bohat bhatay they. Meethay ke to woh dushman hi they. Un ke qareebi dost o ahbaab ki yeh koshish huwa karti thi ke unhen khanay peenay se door rakha jaye. Aik martaba to un ka dheyaan gulab jamun se hataane ke liye Madhuri Dixit ki janib un ki tawajah mabzool karna pada tha. Un ke sathiyon ko unhen beja khanay se roknay ke liye mukhtalif bahanay banane padte thay. Atal Bihari Vajpayee ke guzar jaanay ke baad un ke qareebi sathiyon aur sahafion ne un ki yaaden taaza keen aur un ki khanay se raghbat ke qisse yaad kiye. Un ke doston ke mutabiq Vajpayee meethay aur samundari ghiza ke be intehaa shauqeen thay. Aik senior sahafi Rasheed Qadwai ne is waqt ko yaad karte hue bataya ke aik dafaa sarkari daura ke douran dopaher ke khanay par Vajpayee, food counter pahonch gaye jahan meethay mein gulab jamun bhi maujood thay, Vajpayee ko un dinon doctors ne parhaiz bataya tha. Is se pehlay ke Vajpayee ki nazar gulab jamunoon par jati aur un ka dil lalchaata, un ke sathiyon neh un ka dheyaan batane ke liye aik mansoobah banaya. Unhon ne jhat se wahein maujood Bollywood ki maaroof adakara Madhuri Dixit se un ki mulaqaat karadi. Phir kya tha donon filmon se mutaliq baton mein lag gaye aur isi dauran un ke sathiyon ne barri mahaarat se samnay rakhay woh gulab jamun gayab kardiye. Jin Bureaucrats ne Vajpayee ke sath kaam kya, un ka kehna hai ke woh jahan jatay they wahan ke muqami pakawanon ko chakhnay ki arzoo zahir kya karte thay. Chahay woh Calcutta ke Puchkas hon ya Hyderabad ki Haleem ya Biryani ho ya phir Lucknow ka Gulawati Kebaab hon, Vajpayee aksar un par haath saaf karte nazar aatay thay, woh pakodoon par be thaasha chaat masalha chinak kar khatay they aur sath chai ki chaskyaan letay thay. Vajpayee ke aik qareebi saathi ne bataya ke Vajpayee aksar o beshtar Cabinet ke ijlaas ke dauraan namak wali moong phalian khatay rehtay thay. Aik sahafi ne jo aksar Vajpayee ke saath safar karta tha, Vajpayee ko sab se aaramdah Wazeer e Azam qarar diya, Vajpayee ka kehna tha ke mein sirf kaam ke liye safar par nahin jata balkay jahan jata hon wahan ke khaano se bhi lutf andaaz ho taa hon.’ Aik aur Senior Sahafi ne bataya ke kayi mauqon par unki aur sathiy sahafion ki tawazav un dishes se ki gayi jinhein khud Vajpayee neh apne hathon se tayyar kya tha. Un ke khidmat guzar lal jee Tandon ki zimma daari huwa karti thi ke woh Vajpayee ke liye Lucknow ke chowk se kebab le aaye. Un ke aik saathi ka kehna hai ke markazi wazeer Vijay Goel purani Delhi se bedni aalo aur chaat laaya karte thay jabkay Naib Sadar e jamhooria Hind Venkaiah Naidu Andhra Pradesh se jheenghay laya karte thay.