Hyderabad

Urdu University mein Bain Ul Aqwami Yom-e-Yoga ka ihtimaam

By News Desk Roman Urdu

June 24, 2020

Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University mein 21 June ko bain ul aqwami Yomِ-e-Yoga ka ihtimaam kiya gaya. COVID-19 waba ke pesh-e-nazar is martaba hukoomat ne is ka mauzo ”Ghar par Yoga aur khandan ke sath Yoga“ ( Yoga at home and yoga with family ) rakha tha. Isi par amal daraamad karte huve MANUU ke talba, Asatezah-o-Amlah ne gharoun mein Yoga ke aasan kiye.

Is mauqa par NSS coordinator Professor Mohammad Faryaad ne apne bayam mein kaha ke Yoga na sirf ensaan ko jismani tor par tandrost rakhta hai balkay is se zehni salahiyatoun mein bhi izafah hota hai. Unhoun ne kaha ke har saal Yomِ-e-Yoga ke zareya awaami baydaari peda ki jati hai aur mukhtalif aasan dard aur bimarioun ka mosar ilaaj saabit hotay hain. Hindustan mein sadiiyoun se jari Yoga se aaj deegar aqwam bhi faida utha rahay hain. Is se hamein aur hamaray khandan ko laazmi tor par faida uthana chahiye. Professor Fatima Begum, Voice Chancellor incharge aur Professor SM Rahmatullah, Registrar incharge ney ghar mein rehtay huve Yomِ-e-Yoga ke ihtimaam par talba aur Staff ki sataish ki.