Hyderabad : Hukoomat ke Kashmir ke mutaliq Article 370 khatam karne ke faislay ke baad shehar-e-Hyderabad ke mukhtalif muqamat par ahteyati tadabeer ke tor par security sakht kar di gayi hai. isi-ke tanazur mein Hyderabad mein moujood 2 aalmi shohrat Yafta universities moulana Azad National Urdu University aur Central university of Hyderabad mein police ko tainaat kar diya gaya.
Kashmir ke mutaliq hukoomat ke faislay ke baad un universities mein ahteyati tadabeer ke tor par yeh security intizamaa kiye gaye hain. aisa gumaan kiya jaraha tha ke universities mein Section 144 nafiz kardiya jaye ga aur iske zariye 4 afraad se zayed ke majumuay par pabandi aaed hogi lekin police ohdedaroun ne kaha hai ke universities mein aisa koi qanoon nafiz nahi kiya gaya hai. taham university mein police act 1861 ke dafaa 30 ka nifaz kiya gaya hai jiske tehat awaami jalsoun aur rallies ki ki ijazat nahi hogi.
University of Hyderabad ke intizamia ke zaraye ne kaha hai ke guzashta do dinoun ke douran university campus ka mahol Khushgawar hai aur kisi qisam ka koi ehtijaj ya rally nahi nikaali gayi hai. halaanke university ke hukkaam ne ek gashti nama jari karte hue talba aur deegar afraad ko mutala kiya hai ke woh kisi qisam ke awaami jalsay ki koshish nah karen. alawa azeen cyberabad police commissioner ne wazeh kiya hai ke universities mein sirf ahteyati tadabeer ke tor par police tainaat ki gayi hain halaanke yahan kisi qisam ki koi thdidat nafiz nahi ki gayi hain.
Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke peer ke din university of hyderabad mein Kashmir se taluq rakhnay walay chand talba ne hukoomat ki janib se Article 370 ki barkhwastgi ke baad ehtijaj ki koshish ki thi lekin university ke security amlah ne inhen is se baz rakha aur jo talba jama hue they inhen muntashir bhi kardiya gaya tha. –YTN STAFF