Latest News

Urdan mein 10 November ko parliamani intikhabaat

By News Desk Roman Urdu

July 30, 2020

Beirut: Urdan mein parliamani entkhabat is saal 10 November ko hon ge. Urdani farman rawa Shah Abdullah Sani ney Shahi farmaan jari kardiya. Website ke mutabiq Urdani Election commission ney Shahi farmaan ke baad parlimani intikhabaat 10 November ku karwane ka elaan kiya hai.

Urdan ke media ney kaha hai ke ewaan Shahi ney parliamani intikhabaat ke ijra ka farmaan qanooni zawabit ke ain mutabiq jari kiya hai. Urdani qanoon ke tehat Shahi farmaan ke ijra ke 10 roz ke andar Election commission intikhabaat ki tareekh mutayyan karne ka paband hota hai.

Sky news ke mutabiq commissioneri council ke sarbarah Ahmed ney kaha hai ke Election commission ney awam ki salamti ko yakeeni bananay ke liye tamam hifazati intizamaa karliye. Parliamani intikhabaat ki tareekh, Qanoon aur ayeen ki pabandi karte hue muqarrar ki gayi hai.

Ahmed ney kaha ke Election Commission Corona waba ke mahol mein hifzaan sahet ke zawabit ki pabandi karte hue intikhabaat karaye ga. Voting ki kinti ka kaam faaslay se anjaam diya jaye ga. Aagahi literature online pesh kiya jaye ga.

Election commission ne kaha hai ke jis qanoon ke tehat 2016 mein parliamani intikhabaat hue they naye intikhabaat bhi isi ke mutabiq hon ge. Yaad rahay ke Urdan mein 18 we parliamani intikhabaat 20 September 2016 ko hue they parliament ne 28 September 2016 se aayeni muddat shuru kar di thi jo ab khatam honay wali hai. Saal rawan ke 27 September ko parliament ki aayeni muddat khatam hojaye gi.