Hyderabad

UoH se emthehanaat ki tareekh tabdeel karne ka mutalba

By News Desk Roman Urdu

September 16, 2020

Hyderabad: Telangana State Planning Board ke Vice Chairman bi Vinod Kumar ne University Of Hyderabad ( UoH ) par zor diya hai ke woh 24 se 26 September tak munaqqid honay walay mukhtalif Course ke dakhilay ke emthehanaat ki tarikhon mein tabdeeli kere.

University Of Hyderabad ke Vice chancellor Professor Appa Rao Podile ko likhay gaye maktoob mein Vinod Kumar ne kaha ke mukhtalif reyasti universition ke talba ke liye aakhri saal aur aakhri semester emthanat 22 September se 13 October tak ho rahay hain, jo University Of Hyderabad ke dakhilay ke emthanat ke sath mutsadam hon ge.

Vinod Kumar jinhon ney yeh khat University Grant Commission ( UGC ) ko bhi rawana kiya hai is mein unhoun ney kaha ke beck waqt mutadid UoH emthehanaat se talba ko taleemi saal ka nuqsaan hoga. Is ke ilawa ek sath mutadid emtehanaat mein shirkat karna un ke liye aur bhi mushkil hoga. Yahan taq ke qaumi jaanch Agency ney 24 September se University Grant Commission qaumi ahliat ka emthehaan ka bhi elaan kar rakha hai.

Is sorat-e-haal par ghhor aur talba ke masail mein dilchaspi letay hue, Unhoun ney University se dakhila ke emtehanaat ki tarikhon mein tabdeeli ki darkhwast ki. Unhoun ney yaad dilaya ke Hyderabad University ko Telangana Student Movement ke ek hissay ke tor par aur 6 nakati farmolha, Article 371 ( d ) ke mutabiq aur Telangana ke awam ki umangon ke mutabiq qaim kiya gaya tha.