Hyderabad. University of Hyderabad ke M.A. saal awwal ke taalib ilm ne aaj University Campus mein mobayyana taur par khudkushi karli. Rajinish jo Utharkhand se talluq rkhtahe, āIā Hostel ke apne kamrah mein latakta huwa paaya gaya. Talba ke mutabiq 20 sala Rajinish ne M.A. English Course mein dakhla liya tha taham do din qabal apna dakhla mobayyana taur par mansookh karliya aur jumeraat ko ghar wapas lotney wala tha. Is ne apne doston se kaha tha ke woh Campus mein apne aap ko dhaal nahi parha hai. Woh Hostel mein muqeem wahid taalib ilm tha aur kisi ko bhi room allot nahi kya gaya tha. Aik Taalib e Ilm ne bataya ke jab is ke dost kamrah mein puhanche to woh latakta huwa paaya gaya. Gachi Bowli Police ne post mortem ke liye laash ko Osmania General Hospital ko muntaqil kya. Police ne bataya ke usay koi khudkushi note dastyab nahi huwa, khudkushi ki wajohaat ka hanooz pata nahi chal saka. Aik muqadma darj karte hue tahqiqaat ka aaghaz kardiya gaya. Androon aik mah University of Hyderabad mein Taalib e Ilm ki doosri khudkushi hai.