Jurm

Unan mein khauf naak aatish zadgi, halakatain 88 tak pahonch gayeen

By Abdul Aziz

July 29, 2018

Unan ke dar-ul-hukoomat Athens ke sahili ilaqon mein lagnay wali khauf naak aag naay wasee ilaqa ko apni lapait mein le rakha aur aag bujhanay koshishen bhi jari hain. it-tila-aat ke mutabiq aatish zadgi ke nateeja mein ab tak kam se kam 88 afraad halaak hogaye hain. it-tila-aat ke mutabiq guzashta roz aag mein jhulse do jurwan bachon sameit mazeed teen bachay jaan bahaq hogaye. aatish zadgi ke baais honay wali halakaton ke baad Mulk mein sakht sadma ki kefiyat hai. Unani wizarat sahet ke mutabiq hafta ke roz hospital layi gayi aik jhlsi khatoon dam toar gayi jab ke aag mein jhulse bisyon afraad ki haalat khatray mein hai. Juma ke roz Unani Wazeer e Azam Alexis Tsipras ney aik bayan mein Mulk mein lagnay wali khauf naak aatish zadgi mein hukoomat ki nakami ka aitraaf kya aur tasleem kya tha ke reyasti idaray aag par qaboo panay mein nakaam rahay hain. Unan ki tareekh mein yeh apni noiyat ki khatarnaak aatish zadgi hai jis naay wasee abadi ko apni lapait mein le rakha hai. aag par qaboo panay ke liye kayi riskyo temen din raat kaam kar rahi hain.