Slider

Umrah ka season urooj par, Mecca Mukarramah ki 70 feesad Hotels adam dastyab

By News Desk Roman Urdu

January 08, 2020

Riyadh: Saudi Arab mein mausam sarma ki tatilat ke douran Umrah ka season urooj par hai aur bairooni aur muqami zaireen ki kaseer tadaad mein aamad ki wajah se Mecca Mukarramah ke hotel 70 feesad tak masroof hogaye hain jabkay ttansport, Restaurants aur marketing mein sargarmia nuqta urooj ko pahonch gayi hain.

In dinoun Saudi Arab ke tamam ilaaqoun se muqami shehri aur muqeem ghair mulki afraad Umrah ke liye Mecca Mukarramah puhanche hue hain. Bahar se bhi lakhoun zaireen Umrah par aaye hue hain.

Repot ke mutabiq Umrah season ke maahir iqtisadiat Mohammad Saad Al Qureshi ne kaha hai ke mausam sarma ki tatilat se hamaray talba o talbat aur asatezh bharpoor lutaf utha rahay hain. Hazaroun Mecca Mukarramah ki rohani fazaoun mein saans le rahay hain. Unhoun ne kaha hai ke khaas tor par Saudi Arab ke un shehroun ke bashinday Mecca Mukarramah kaseer tadaad mein puhanche hue hain jahan sardi ki shadeed lehar aayi hui hai.

Mohammad Saad Al Qureshi ke bamujab 400 se ziyada hotel Umrah zaireen ke kher muqaddam ki tayyariyan pehlay hi se kiye hue they. Masjid Al Haram ke atraaf ke ilaqay ke hotel aur Furnished Apartments ki in dinoun chandi hogayi hai. Wazeh rahay ke Al Azizia, Al Jaad Mahbas, Al Shasha aur Al Roza ke ilaaqoun ke Furnished Apartments bhi Umrah zaireen se bhar gaye hain.

Mecca Mukarramah ka motadil mausam Umrah zaireen ko shehar ke sabza zaroon aur qaumi parkoun mein sair o tafreeh ki dawat day raha hai. 290 se ziyada public park Mecca Mukarramah ke mukhtalif hisson mein qaim hain. Mecca Mukarramah mein baldeati Counsel ke negranoun ne tafteeshi doray badha diye hain. Manfi sar garmioun par nazar rakhay hue hain. Security force ke ohdedar bhi baldeati counsel ke ohdedaroun se taawun kar rahay hain. –YTN STAFF