Mumbai: Shive Sena ke sadar aur Shive Sena, NCP aur Congress ittehaad ( Maha Vikas Aghadi ) ke leader Uddhav Thackeray ne jumaraat ko maharashra ke 29 we Wazeer-e-Aala ki hesiyat se halaf liya. Mumbai ke shivaji park mein munaqidah ek azeem-ul-shan halaf bardari taqreeb mein, Reyasti governor Bhagat singh Koshyari ne shaam 6:40 bajey Shive Sena ke rehnuma Uddhav Thackeray ko Wazeer-e-Aala ka halaf dilaya.
Isi ke sath hi Uddhav Thackeray is aala ohday par Faiz honay walay, Thackray khandan ke pehlay fard ban gay. Aur wo Manohar Joshi, Narayan Rane ke baad Shive Sena ke teesray Wazeer-e-Aala ban gay. Is terhan taqreeban 20 saloon ke baad Shive Sena ko Wazeer-e-Aala ka ohda ek baar phir mil gaya.
Uddhav Thackeray, Shive Sena, Nationlist congress party aur congress par mushtamil ”Maha vikas Aghadi“hukumat ki qayadat karen ge. Uddhav Thackeray ke
sath hi Eknath Shinde ( Shive Sena), Subhash Desai ( Shive Sena), jayanta Patil ( NCP), Chhagan Bhujbal ( NCP) aur Baalasaheb Thorat ( congress ), Nitin Raut ( congress ) ne bhi wazraa ki hesiyat se halaf liya.
Is taqreeb halaf bardari mein mumtaz mazzin, mulk bhar ke ilaqai siyasi qaideen, Is ke ilawa deegar reyastoun ke kam az kam 3 wazraye aala aur maharashra ke 6 sabiq wazraye aala bhi shaamil they, jinmen Sharad Pawar, Sushilkumar Shinde, Manohar Joshi, Prithviraj Chavan, Ashok Chavan, and Devendra Fadnavis. shaamil hain.
Un ke ilawa Uddhav Thackeray ke cousin aur maharashra nar nirmaan Sena ke sadar Raj Thackray, sanat car Mukesh Ambani, un ki ahliya Nita Ambani aur pore maharashra se 500 se ziyada kisaan aur hazaroun afraad ne shirkat ki. Tenu ittihadi partiyoun ke deegar numaya shaksiaat mein, Abhishik Abhishek M. Singhvi, Rajiv Shukla, Praful Patel, Kishore Tiwari, Supriya Sule-Pawar, Sanjay Raut, Arvind Sawant, Rohit Pawar, and Rashmi Thackeray and Aditya Thackeray, the wife and son of Uddhav Thackeray mojood they.
Wazeh ho ke, Shive Sena, Nationalist congress party aur congress ke ittehaad se maharashra mein ye hukoomat tashkeel payi hai. Teenu partiyon ke ittehaad ka naam’ maharashra vikas Aghadi“rakkah gaya hai. Teenu partiyoun ke mabain kayi baar ijlaas munaqqid hue aur aakhir-kaar yeh faisla kiya gaya ke Uddhav Thackeray
Wazeer-e-Aala hon ge aur NCP ka sirf ek naib Wazeer-e-Aala hon ge. is ke ilawa congress ko speaker ka ohda bhi diya jaye ga. Taham, abhi taq naib Wazeer-e-Aala aur speaker ka naam taye nahi huwa hai.
zaraye ke mutabiq, NCP rehnuma Ajit Pawar ko bhi is hukoomat mein naib Wazeer-e-Aala ka ohda mil sakta hai. wazeh ho ke ajeet pwar ne BJP se ittehaad karte hue hukoomat banai aur naib Wazeer-e-Aala ki hesiyat se halaf liya. Aur is ke baad woh istifa de kar wapas NCP mein aagaye. -YTN STAFF