Trending News

UAE mein Ramadan ke douran khana pina jurm, Jurmana aur saza ka elaan

By News Desk Roman Urdu

April 27, 2020

Dubai: Mutahidda Arab Emarat mein Ramadan ke dinoun mein awaami maqamat par khana pina jurm hai, Is par 2 hazaar Dirham jurmana aur 1 mah qayed ki saza hogi. Tafseelaat ke mutabiq Dubai Municipality ney kaha hai ke Federal qawaneen mein Ramadan ke dinoun mein khulay aam khana pina mana hai, Jis jagah khana pina hoga usay seal karne ki ijazat di gayi hai.

Municipality ney kaha hai ke Ramadan ke dinoun mein rozay ke auqaat mein khud khanay peenay ko bhi saza hoga aur jo khanay peenay par dosaroun ko uksayega ya inhen targheeb dega usay bhi saza hogi. Municipality ney kaha hai ke Federal qawaneen mein wazeer e dakhla ko ye ikhtiyar hai ke wo Ramadan mein rozoun ki hurmat ko barqarar rakhnay ke liye khana peenay ke marakaz band karanay ki hidayat jari karsaktha hai.

Municipality ney kaha hai ke wo ye hidayat barah e raast bhi day sakta hai ke baldia ke marakaz ko qanoon nifaz karne ka hukum day sakta hai. Municipality ney kaha hai ke mukl mein mojood khanay peenay ke tamam marakaz, Restaurant aur Cafe ke ilawa dukanoun ke malikaan ko chahiye ke Ramadan ke taqaddus ka khayaal rakhen. Municipality ne mulk mein muqeem ghair mulkioun se Appeal ki hai ke Ramadan ke dinoun mein awaami maqamat par khanay peenay se ihtiraz karen, Dosray roza daaroun ke jazbaat ka khayaal rakhen aur mulk ke qawaneen ka ehteram karen. –YTN STAFF