Dubai: Mutahidda Arab Emarat ke naib sadar Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum ne kaha hai ke Emarat mein sayahati visoun ka nizaam tabdeel kar diya gaya hai aur aisay visay ki meyaad 5 baras kar di gayi hai.
Tafseelaat ke mutabiq Sheikh Mohammed bin Rashid Al Maktoum jo Dubai ke hukmaran bhi hain unhoun ne kaha ke ye visa tamam mumalik ke shehrioun ko diya jayega aur kaseer ul maqsad hoga. Sheikh Mohammad Bin Rashid ke bamujab sayahati qanoon mein tabdeeli ka maqsad salana 21 million se ziyada sayah lana hai. Is ki badolat ko bain ul aqwami sayahati markaz ki hesiyat se mutahidda Arab Emarat ki pehchan mazboot hogi.
Al Bayan Website ke mutabiq Sheikh Mohammad Bin Rashid Al Maktoum ne kaha ke 2019 hamza har satah par karnamoun ka saal raha. Ab hum 50 win baras ke liye misbet andaaz mein tayyariyan karen ge. Sheikh Mohammad Bin Rashid ne wazeh kiya ke hum chahtay hain ke 2020 baday mumalik ke sath muqaabla, Taraqqi aur behtari ka saal saabit ho. Hamaray programoun ka hadaf mulk ka koi ek tabqa nah ho balkay hum badoun, chotoun, Ba azm shehrioun, Ghair mulkioun, Talba, Sarmaya karoun aur taajiroun sab ke liye kuch nah kuch ahcha karna aur dekhanaa chahtay hain.
Sheikh Mohammad Bin Rashid ne kaha hai ke Emarati council ne multiple sayahati visay ki manzoori day di hai. Ye tamam mumalik ke shehrioun ke liye hoga jis ki meyaad 5 saal hogi is ki badolat Emarat mein har mulk o qoum ke liye sayahati qawaneen behtar honge aur poori duniya mein aalmi sayahati markaz ke tor par Emarat ki pehchan mazboot banay gi. Emarati council ne Mexico ke shehrioun ko visay se istashna day diya. Mexico ke shehri Visa leye baghair Emarat aajasakinge. –YTN STAFF