Hyderabad

TUWJU ka October mein jalsa e aam

By News Desk Roman Urdu

September 20, 2018

TUWJU ki istaqbalia o deegar committees ki tashkeel. Mujalla ki ishaat aur GO 239 ke khilaaf jad-o-jahad ka faisla. Union ka ijlaas

Hyderabad. Telangana Urdu Working Journalists Union (TUWJU) ney wast October mein Urdu sahafion aur Union ke arkaan ka aik jalsa e aam munaqqid karne ka faisla kiya hai taakay Urdu sahafion ke saath jari lagataar na insafyon ke khilaaf aawaz uthatay hue hal talab masayil ki janib Hukoomat ki tawajah mabzool karai jasakay. Iss silsilay mein Union ke riyasti aur zilai zimma daraan ka aik ijlaas aaj Nobel Hall, Mustafa Tower, Lakdi ka pul mein munaqqid huwa jis mein jalsa e aam ki tayarion aur is ke kamyaab ineqaad ke liye istaqbalia committee ke saath deegar mukhtalif committees ki tashkeel amal mein layi gayi. Jalsa e aam mein Urdu ki mashhoor o Maroof shakhsiyation ke alawa brsar iqtedaar wo oppostion partiies ke aala qaideen ko madoo karne ka faisla kiya gaya. Ijlaas mein GO 239 par dubarah ghaor o khouz kya gaya. Yeh GO bilkhushoos Urdu sahafion ke mafadaat par zarb lagaata hai is liye Union ney hukoomat par is GO se dast bardari ke liye dabaau daalnay ka faisla kya hai. Iss silsilay mein masaayee ke liye mukhtalif iqdamaat uthaye jaayen ge aur aala ohdedaron se dubarah numayindagi ki jaye gi. Urdu sahafion ko double bedroom makanaat ki farahmi ko yakeeni bananay ke liye bhi iqdamaat par ghaor kya gaya aur accreditation card se mahroom sahafion ko bhi health card ki ijrayi ke liye mo-asir koshishon ke aaghaz ka faisla kiya gaya. Ijlaas mein Union ke zilai sudoor aur deegar ohdedaron ney mukhtalif sathon par Urdu sahafion ke sath na-insafi aur sarkari ohdedaron ke taasub ki shikayat ki aur kaha ke iss rujhan ke sidd-e-baab ke liye mo-asar koshishon ki zaroorat hai. Bilkhusuoos sarkari idaron mein Urdu sahafion ke sath mutasub rawayya ikhtiyar kya jata hai jis ke khilaaf aawaz uthany ki zaroorat par zor diya gaya. Union ke ohdedaron ney Union ke aik Mujalla ki ishaat ka bhi faisla kya hai aur is silsilay mein bhi aik committee ki tashkeel amal mein layi gayi hai. Sarparast Union janab Mohammad Sajid Meraj ney khitaab karte hue jalsa aam ke silsilay mein tashkeel di gayi mukhtalif committees ke zimma daraan se khwahish ki ke woh aik kamyaab jalsa aam ke ineqad ke liye tayarion ka fauri aaghaz kar dein. Unhon ney kaha ke Telangana Urdu Working Journalists Union ke qiyam ka maqsad Urdu aur Urdu sahafion ki taraqqi aur falah o bahbood ko yakeeni banana hai aur Union iss mission mein musalsil sargaram hai. Pas e parda aur paish parda dono taraf Union ki sargarmian jari hain. Unhon ney Union ke zilai ohdedaran se khwahish ki ke woh Union ko mazboot se mazboot tar bananay ke liye anthik jad-o-jahad karen taakay mustaqbil mein iss ke samraat se na sirf maujooda Urdu Sahafi balkay Urdu sahafion ki aanay wali naslen bhi mustafeed hosakin. Union ke riyasati saddar janab Ather Moin ney apne khitaab mein phir aik baar tamam ohdedaran aur arkaan se appeal ki ke woh hamesha muttahid rahen kayunkay ittehaad hi hamein insaaf dilasakta hai. Unhon ney yaqeen dilaya ke Union, Urdu sahafion bilkhusoos apne arkaan ki falah o bahbood ke liye har mahaaz par sargarmi ke saath kaam kar rahi hai. Riyasati naayeb sadoor janab Mohammad Abdulhakeem aur janab Rawoof Aazmi, riyasati General Secretary janab Laeequddin aur riyasati Secretary Mirza Ghani Baig ney bhi ijlaas se khitaab kya. Union ke riyasati Secretary janab Rafeeq patel ki qiraat kalaam e pak se ijlaas ka aghaz amal mein aaya. Ijlaas mein Nayeb Sadar Mohammed Akbar Mohiuddin, Secretaries Mufti Mohammed Rayees Qasmi, Zubair Ahmed Khan , Khazin Syed Wajid Hussaini, arkaan e aamila Mohammad Riyazuddin, Mohammed Fazal Pasha, Mohammad Siraj Masood, Mohammad Yousuf , Syed Chand Pasha, Mohammad Siddiq , Mohammad Abdulazeem, Sheikh Jameel , Mohammad Ishaq Sohail, azlaa ke sudoor wo muatamadeen Syed Sajjad ul Hasnain, Syed Baqar, Syed yahya Pasha Quadri, Mohammad Muttabi Ali Khan , Mohammed Mohsin, Sheikh Mohsin, Sheikh Farhaad Khalil, Mohammed Abdul Azeem (Greater Hyderabad), Mohammad Irfan, Jafar Rasheed, Mohammad khaliluddin(Jagtial), Mohammad Sayeed Mohiuddin, Aleem Danish ( United Warangal), Mohammad Imtiazuddin (Medak) ), Sahkir Samad (Karimnagar), Mohammad Abid Ahmed (Asifabad), Mohammad Aleemuddin (Kamareddy),  Shahid Ahmed Tawakkal (Adilabad), Mohammad Usman (Nizamabad), Ashfaq Ahmed, Syed Amjad (United Nalgonda), Mohammad Ghaus (Nagar Kurnool), Mohammad Ilyasuddin (Siddipet) aur deegar azlaa ke zimma daraan ney shirkat ki .