Tunis: Tunisia ke wazeer e azam Ilyas Fakhfakh mustafi hogaye. Sadar Kais Saied ko istifa pesh kardiya. Website ke mutabiq Tunisian ke sadar ney speaker Rached Ghannouchi, Al-Ettehadul Aam ke secretary general Nooruddin Al Tabubi aur Wazeer e Azam Ilyas Fakhfakh se mulaqaat ki thi jis mein unhoun ney wazeer e azam ko istifa pesh karne ki hidayat ki thi.
Tunis ke sadar ney wazeer e azam se aisay mahol mein istifa talabb kiya hai jab Tunisia ke awam mein Fakhfakh ke barey mein shukook o shubhat phailay hue hain. Kaha ja raha hai ke unhoun ney aisi companiyoun ke sath saudey kiye hain jin ke ya to malik hai ya jin ke kuch shares kharede huve hai.
Media ke mutabiq do sarkari zaraye ne apna naam zahir nah karne ki shart par is ki tasdeeq ki hai. Tunisia ke zaraye ne tawaqqa zahir ki hai ke sadar Kais Saied jald hi kisi aur shakhsiyat ko wizarat uzma ke liye naamzad kar dein ge.
Tunisia ke ayeen ke bamujab wazeer e azam ke isteefay ke baad nai hukoomat ki tashkeel ki mushawarat ka haq saddar Kais Saied ko haasil hoga. Yaad rahay ke kayi parlimani groupon ne wazeer e azam Fakhfakh ke khilaaf tehreek adam aetmaad pesh ki thi jis par Al-Nehza tehreek, Qalb Tunisia aur Al-Karmah group ke 105 arkaan parliment ne dastakhat kiye they. Kayi azad arkaan parliament bhi dastaqat karne waloun mai shamel rahe hai.
Mafadaat ke takrao ke ilzamaat ki tehqiqaat ka saamna karne walay Ilyas Fakhfakh ke october mein honay walay intikhabaat ke baad se parliment ki sab se badi party Al-Nehza tehreek se taluqaat kasheeda hain. October mein honay wali intikhabaat mein La-Nehza tehreek pehlay number par rahi lekin aksariyat se mahroom rahi.