Slider

TSRTC mulazmeen ki hadhtal jari, hadhtal ke pesh-e-nazar Dussehra ki tatilat mein ki gayi towsee

By News Desk Roman Urdu

October 13, 2019

Hyderabad : Telangana state road Transport corporation ( TSRTC ) mulazmeen ki janib se apne mutalibaat ko lekar ki jarahi hadhtaal aathwein din mein shaamil hogayi hai. yeh mulazmeen apni deegar kayi mangoun ke sath sath, RTC mehakma ko riyasati hukoomat mein zam karne ka mutalba kar rahay hain, jabkay reyasti hukoomat unke is mutalba ko maan-ne se inkaar kar rahi hai, aur mulzimeen ki is hadhtal ko ghair qanooni qarar dete hue mulazmeen par barhami ka izhaar kar rahi hai.

Isi barhami ke tehat pichle hafta reyasti wazeer-e-aala ne hadhtal kar rahay 48 hazaar se zayed mulazmeen ko mulazmat se Bar-taraf kardiya hai. kyunkay wazeer-e-aala ki hidaayat ke baad bhi un mulazmeen ne khidmaat par wapas lootna gawara nahi kiya, jiske nateejay mein inhen noukri se hi Bar-taraf kar diya gaya.

Ittila ke mutabiq taqreeban 50 hazaar mulazmeen hadhtaal par they, aur wazeer-e-aala ki kaam par wapas loutney ki appeal par sirf 1200 mulazmeen hi wapas loute, jiska sakht notice letay hue wazeer-e-aala ne baqi hazaroun mulazmeen ko noukari se Bar-taraf kardiya. unke is faislay ke baad mulazmeen ke ehtijaj mein mazeed sakhti aagai hai. aur unki hadhtal navein din mein shaamil hogayi hai, jo pichle nou roz se apne mutalibaat ko manwane ke liye hadhtal par hain.

Wazeh ho-ke Telangana state road Transport corporation ke mulazmeen ne unke mutalibaat ka tajzia karne ke liye hukoomat ki janib se tashkeel shuda IAS ohdedaron ki seh rukni committee se JAC ki baat cheet na-kaam hojane, aur hukoomat ki janib se koi thos wada na kiye jane ke baad, 4 october ki nisf shab se apni ghair muayana muddat ki hadhtal ka aaghaz kiya. jis mein 50 hazaar mulazmeen ne hissa liya.

Telangana RTC JAC ke sadar nasheen Ashwathama reddy ne kaha ke hukoomat ki janib se mulazmin ke mutalibaat ki yaksoi ka koi wada nahi kiya gaya, jiske nateejay mein hamaray paas hadhtal ke siwa koi rasta nahi tha.

 

Doosri taraf reyasti hukoomat nay TSRTC ke mulazmeen ki hadhtaal ka sakht note letay hue 5 october hafta ke roz yeh elaan kiya tha ke ”sham 6  bajey tak duty par wapas aanay walay RTC workers ko hi mulazmeen tasawwur kiya jayega aur deegar ki mulaazmatein khatray mein padh jayengi. aur kaha ke ab mulazmeen ki union ki Joint Action Committee ( JAC ) ke sath mazeed koi baat cheet nahi ki jayegi. phir wazeer-e-aala KCR nay awam ko hadhtaal se honay wali pareshaniyon se bachanay ke liye taqreeban 2600 buses kiraye par haasil karne ke liye hidaayat di. aur khangi drivers ki khidmaat haasil karte hue buses chalanay ka mansoobah banaya. sath hi hadhtaali mulazmeen ko shaam tak khidmaat par wapas aaney ko kaha gaya.

Reyasti hukoomat ki janib se mulazmeen ko mulazmat se bar-tarf karne ki wazeh dhamki ko nazar andaaz karte hue riyasat ke 50 hazaar RTC mulazmeen nay ghair muayana muddat ki hadhtaal shuru ki. jiske nateejay mein poori riyasat mein awam ko shadeed dushwaryon ka saamna karna padha. aur tehwaroun ke is mausam mein awam niji gadiyon, auotos aur train ke zareya safar karte dekhe gay, lekin inhen RTC ki hadhtaal se kaafi pareshani hui.

Is ghair muayana muddat ki hadhtaal mein RTC mulazmeen ki 10 hazaar union, Bashmool TMU , staff and workers federations, mulazmeen union, national mazdoor union hissa lerahi hain. woh RTC ko hukoomat mein zam karne, tankhwahon par nazar sani karne aur makhlua jaedadon ko pur karne ka mutalba kar rahay hain. is hadhtaal ke pehlay din riyasat ke mukhtalif ilaaqoun mein haalat kasheeda hogay, khangi drivers par hadhtaali mulazmeen nay sang baari ki. aur kuch maqamat par sadak haadsay bhi hue.

Telangana hukoomat ki janib se hafta ki shaam tak noukari par wapas loutney ki hidaayat ke ba-wujood TSRTC mulazmeen ki hadhtaal jari rehne par sakht Bar-humi ka izhaar karte hue itwaar 7 october ko wazeer-e-aala KCR nay is hadhtaal ko ghair munsifana jurm qarar diya aur TSRTC ke 48 hazaar se zayed mulazmeen ko Bar-taraf karne ka isharh diya. aur wazeer-e-aala ke daftar ki janib se bataya gaya ke, 1200 mulazmeen hi kaam par wapas lautey hain, wohi mulazmin ke tour par baqi rahenge. iska matlab hai ke hukoomat nay baqi logoun ko Bar-taraf kar diya hai.

Hukoomat ke is sakht faislay ke baad jahan hadhtal kar rahay mulazmeen nay narazgi ka izhaar kiya, wahein opposition jamaatoun nay hukoomat ke is faisla par sakht tanqeed ki.

 

Congress ke senior rehnuma aur sabiq wazeer Mohammad Ali Shabir nay TSRTC ke hadhtal karne walay 48 hazaar se zayed mulazmeen ko noukari se Bar-taraf karne ke hukoomat ke faislay par wazeer-e-aala ki jam kar tanqeed ki, unhon nay kamareddy mein muzahira karne walay mulazmeen se khitaab karte hue kaha ke ”is faislay ko har giz Bar-daasht nahi kiya jayega, kyunkay RTC amlay ka jamhoori haq hai ke woh apne mutalibat ko manwane ke liye ehtijaj karen. unhon nay kaha ke congress party mulazmeen ke mutalibaat ki takmeel tak unki madad karegi.

Doosri taraf wazeer-e-aala ne mulazmeen ko Bar-taraf karne se mutaliq un par opposition jamaaton ki tanqidoun par kaha ke ”hukumat ko dusroun ko Bar-taraf karne ki koi zaroorat nahi hai, woh khud apne tor par chalay gay hain, chunkay unhon ne unko di gayi dead line ke ekhtataam se qabal duty par wapas nahi lautay, is liye unhon ne khud ko Bar-taraf kar liya hai. hukoomat aur RTC ne jo appeal kee un par unhon ne koyi radd-e-amal zahir nahi kiya aur Bar-taraf hogaye.

Is par apne radd-e-amal ka izhaar karte hue sadar Telangana mazdoor union ne kaha kay, ehtajaji workers ko hukoomat ya RTC ki janib se Bar-tafri ya muatali ki koi notice mousool nahi hui hai. unhon ne kaha ke mulk mein qawaneen hain aur hamein qawaid ke mutabiq muqarrar kiya gaya hai. woh apni marzi ke mutabiq hamein alehda nahi kar sakte. union leader ne kaha ke yahan adalatein hain, agar zurori hoto hum adalaton se rujoo honge.

Is ke baad hadhtal mein shiddat paeda ki gayi. muqami logon aur mukhtalif reyaston se anay walay musafireen ko kaafi dushwariyon ka saamna karna padha. is hadhtal ke sabab MMTS trainoun, metro khidmaat, autos, aur cabs par musafiron ko inhisaar karna padha. RTC mulazmeen ki is hadhtal par reyasti wazeer zaraat singi reddy niranjan reddy ne kaha ke RTC union ke qaideen ek khufia agenday ke tehat kaam kar rahay hain.

Ek press conference mein unhon ne kaha ke hukoomat ne RTC mulazmeen ko mara-aat aur sahulatein di hain, is ke alawa Telangana ki tashkeel ke baad wazeer-e-aala KCR ne un ki tankhwahon mein bhi ghair mamooli izafah kiya tha. unhon ne kaha ke RTC mulazmeen ghair zurori mutalibaat ke tehat hadhtal karkay apne pairoun par khud hi kulhadi marli hai.

Niranjan reddy ne kaha ke RTC mulazmeen ke mutalibaat ko qubool karna mushkil hi nahi na mumkin hai, unhon ne oppostion par hamla karte hue kaha ke woh tehwar ke mauqa par awam ko mushkilaat mein daalnay walay mulazmeen ko samjha kar duty par rujoo karvane ke bajaye opposition jamaten, BJP aur congress, aag mein tel dalne ki koshish kar rahay hain.

RTC mulazmeen ki hadhtal se hyderabad wo Telangana ke dosray ilaaqon mein awam ko pareshani ho rahi hai. rozana buses ka istemaal karne walay musafireen ko is hadhtal ki wajah se apni manzil maqsood tak pohnchney mein mushkilaat paish aarahi hain.

RTC mulazmeen ki is hadhtal se tehwaron ke mauqa par jahan awam ko kaafi mushkilaat ka saamna karna padh raha hai, wahein school wo college ke talba ko bhi kaafi dikathein uthani padh rahi hain. hyderabad ke 2 badey bus station Mahatma Gandhi bus station aur jubilee bus station sunsaan dikhayi day rahay hain. riyasat bhar mein 10400 buses depots mein ruki hoyi hain, mehakma RTC arzi driveron aur dosray mulazmeen ki madad se buses chala rahay hain.

Is douran wazeer-e-aala ki janib se mulazmeen ko bar-tarf kiye jane ka intibah diye jane ke baad mulazmat se Bar-tafri se khaufzadah ek RTC driver ke alawa RTC ki khatoon mulazma ke shohar ko dil ka doura padhney se mout hogayi. police ke mutabiq dono waqeat sanga reddy zila ke mukhtalif ilaaqon mein pesh aaye. bataya gaya hai ke zila ke Ramchandra puram ke rehne walay RTC 48 sala Sheikh khalil miyan, jo HC depot se wabsta they. mulazmat se Bar-tafri ke khauf se achanak dil ka doura padhney se inteqaal kar gaye. jabkay dosray waqea mein RTC ki mulazma naga rani ka mayoosi kiye aalam mein dil ke douray se mout hogayi.

RTC mulazmeen ki hadhtal naveen din mein shaamil hogayi hai. reyasti hukoomat ne mulazmeen ki hadhtal ke paish-e-nazar tamam taleemi idaron Bashmole schoolon, junior colleges degree colleges ke liye dussehra ki tatilat mein 19 tareekh tak towsee karne ka elaan kiya hai. jin mein khangi, sarkari, imdadi, junior, degree, polytechnic ke Bashmole engineerings, law, MBA , MCA, pharmacy aur medical colleges ko chodh kar university colleges shaamil hain.

Sath hi wazeer-e-aala ne kaha hai ke aindah 4 din mein RTC ki sad feesad buses ko chalaya jayega. talba ko dushwariyoun se bachanay ke liye sarkari aur khangi taleemi idaron ke tatilat mein 19 october tak towsee ki jarahi hai.

Al-gharaz RTC mulazmeen ki hadhtal se awam pareshan hain, ab dekhna hai ke hukoomat aur mulazmeen ke darmiyan ki yeh zid kiya modh late hai, waisay opposition jamaatein, hukoomat ke khilaaf RTC mulazmeen ka sath derahi hain. aur is masla ko bhar-poor siyasi rang diya ja raha hai. –YTN STAFF