Slider

TSRTC ke aur ek mulazim ne karli khudkushi

By News Desk Roman Urdu

November 13, 2019

Hyderabad: Telangana Road Transport Corporation ( TSRTC ) ke aur ek mulazim nay khudkushi karli, jabkay RTC mulazmeen ki ghair muayana muddat ki hadhtaal Charshambe ke roz 40th din mein dakhil ho gayi hai. 2 mah se tankhwa nahi milnay par affsurdaha aur mulazimat se mehroom honay ke khauf se, TSRTC ke ek driver ne mehbubabad qasbay may apni zindagi ka khtama kar liya.

Mazkorah driver jis ki shanakht A.Naresh ke tor par ki gayi hai. is ne apne ghar may keeday maar dawai khayi, usay fori tor par Hospital may daakhil kiya gaya, jahan Doctoroun ki janib se usay murda qarar diya gaya. aur jaisay hi mazkorah driver ki khud kushi ki khabar phail gayi, TSRTC kaarkunoun ki ek badi tadaad Hospital pahonch gayi, aur laash ko bus depot legaye aur ehtijaj shuru kar diya. police ne muzahireen ko depot mein daakhil hone se rokne ki koshish ki to kasheedgi phail gayi. –YTN STAFF

                              

A.Naresh, TSRTC ka pahaunchvoun mulazim hai jis ne mayoosi ki wajah se khud kashi ki hai. RTC mulazmeen uninon ke rehnumaun ne

daawa kiya hai ke pichlle 40 dinon ke douran 10 se zayed deegar mulazmeen ki harkat qalab band hone se mout waqay ho gayi.

wazeh ho ke TSRTC ke 50 hazaar se zayed mulazmeen ney apne mutalibaat ko leker hartaal ki thi, jis ke baad hukoomat ney unke tamam mutalibaat ko mustard karte hue. Kam par wapas anay ke liye do baar deadline tiye karne ke bawajood mulazmeen ney hadhtal jari rakhi. sirf 1300 ke qareeb mulazmeen dobarah duty par lout gaye. Telangana High Court ki janib se hukoomat aur TSRTC ko maslay ki yaksoi ke liye iqdamaat shuru karne ki hidayat ke baad bhi ta-attul Bar qarar raha. hukoomat aur mulazmeen, dono hi apne muaqqaf par qaim hain.

High Court ne mangal ko Suprime Court ke 3 retire Judges ke sath hadhtal ke masle ko hal karne ke liye ek Committee tashkeel dene ki tajweez pesh ki hai. hukoomat ne abhi taq is tajweez par koi jawab nahi diya hai.TSRTC mulazmeen ki joint action committee ( JAC ) ne jo is hadhtal ki qayadat kar rahi hai, nah is tajweez ka kher muqaddam kiya hai.

-YTN STAFF