Slider

Trump ka Iran ko sakht intibah, Jung ka khayaal bhi na karne ki hidaayat

By News Desk Roman Urdu

January 06, 2020

New York: Americi sadar Donald Trump ne khabardaar kiya hai ke America par hamlay ki soorat mein wo Iran par aisi kaadi zarb lagayenge, Jo maazi mein kabhi nah lagi ho. unhoun ne kaha meri Iran ko nasiyaat hai ke wo dobarah hamlay se ba’az rahen. Hamlay ke soorat mein un par aisa waar hoga jo maazi mein kabhi nah huva ho. ek allag Twitter pegham mein sadar Trump ne Americi fouji saaz o saman par ghamand ka izhaar karte hue kaha ke kisi bhi Americi fouji adday ya sipahi par hamlay ki soorat mein wo is fouji taaqat ke istemaal mein zara hichkichahat mehsoos nahi karenge.

Twit ke Bamujab America ne fouji saaz o saman par 2  trilion dollar sirf kiye hain. Hum duniya mein fouji lehaaz se sab se bada aur behtareen mulk hain. Iran ne agar kisi Americi thikaane ya Americi shehri par hamla kiya to kisi hichkichahat ke baghair hum naye nakoor asleha se inhen jawab denge. Drayan asna America ke sadar Donald Trump ne khabardaar kiya hai ke agar Iran ne is ke askari marakaz, Fojioun ya asasoun pur hamla kiya to Tehran ki 52 tansibat ko fori tor par nishana banaya jayega.

Ahdaaf ko intehai phirti aur shiddat se nishana banaya jayega. 1979 mein Tehran mein 52 Amricoun ko yarghamal banaya gaya tha lehaza America mazeed khatrah nahi chahta. Sadar ne ahdaaf ki nishandahi nahi ki taham unhoun ne kaha hai ke un mein se baaz maqamat Iran ke liye nihayat ahem aur hassas tareen hain. Khayaal kiya ja raha hai ke ye bayan Irani commander general Ghulam Ali Abu Hamza ki janib se guzashta roz diye gaye is bayan ke tanazur mein samnay aaya hai jis mein unhoun ne kaha tha ke America ko general soleimani par hamlay ka jawab diya jayega. General Ghulam Ali Abu Hamza ne apne bayan mein ye bhi kaha ke abnaye hurmez mein Americi jungi jahaaz aur sameit 35 tansibat Iran ke hadaf par hain. –YTN STAFF