Washington: American sadar Donald Trump ne ek martaba phir masla Kashmir par Hindustan aur Pakistan ke darmiyan salisi kirdaar ada karne ki khwahish zahir ki hai. Trump ne White House mein kaha ke dono asiayi padosi mumulk ke darmiyan sulagtey masail hain aur woh masail suljhanay mein madad kar rahay hain.
Trump ne kaha wazeh tor par kahoon to yeh ek bohat hi dhamaka khaiz soorat-e-haal hai. mein ne Wazeer-e-Azam Narendra Modi ke sath hi Wazeer-e-Azam Imran Khan se bhi baat ki. dono hi mere achay dost hain. woh azeem log hain aur apne mulk se mohabbat karte hain. mein is haftay ke aakhir mein France mein G 7 chouti conference ke douran Modi ke sath rahonga. mein maanta honke hum soorat-e-haal ko behtar bananay mein madad kar rahay hain.
Trump ne kaha dono mumalik ke darmiyan bohat masail hain aur mein inhen hal karne ke liye salisi ya kuch deegar iqdam karne ke liye apni har mumkin koshish karoonga. mojooda waqt mein Hindustan aur Pakistan ke darmiyan taluqaat kaafi kharab hain aur woh dost nahi hain. wazeh rahay ke jammu wo Kashmir ko khusoosi riyasat ka darja dainay walay aeen ke Article 370 ko mansookh karne aur riyasat ko markaz ke zair-e-intizaam do reyaston mein taqseem karne ke Hindustan ke faislay ke baad dono mumalik ke darmiyan kasheedgi mein izafah hua hai. Hindustan ne aqwam mutahidda sameit bain ul aqwami baradri se wazeh tor par kaha hai ke yeh is ka dakhli maamla hai. Hindustan ne Kashmir maslay par kisi teesray fareeq ki mukhalfat ki hai. wazeh rahay ke Hindustan ne guzashta mah Kashmir muamlay par salisi ki Amrici sadar ki tajweez ko yaksar mustarid kar diya tha. –YTN STAFF