India

TRS, Parlimani o Riyasti Assemblion ke bayak waqt intikhabaat ke haq mein

By Abdul Aziz

July 08, 2018

Hyderabad. Telangana Chief Ministerr Mr. K. Chandarshekar Rao ne Law Commission of India se aaj wazahat ki ke TRS, 2019 se mulk mein tamam reyaston ke liye bayak waqt assembly intikhabaat ke ineqad ke liye amaada hai. TRS Rukn Parliament Mr. B. Vinod Kumar ne aaj is mauaqqaf se Law Commission ko waaqif karwaya  ne is masla par Dehli mein tamam siyasi partiyon se un ki aaraa haasil karne aik ijlaas talabb kya tha. Baadazan akhbaari numaindon se baat cheet karte hue kaha ke TRS, mulk mein parlimani intikhabaat ke sath Riyasati Assemblion ke bayak waqt intikhabaat ke liye tayyar hai. unhon ne bataya ke is khsos mein Chief Ministerr Mr. K. Chandarshekar Rao ka aik maktoob election commission ke hawala kya hai. unhon ne kaha ke yeh ta-assur paaya jata hai ke riyasat mein qabal az waqt intikhabaat munaqqid ho saktay hain aur TRS kisi bhi waqt intikhabaat ka saamna karne tayyar hai jis se election commission ko bhi waaqif karwaya gaya hai. Mr. Vinod Kumar ne kaha ke mulk mein Parliament aur tamam Riyasati Assemblion ke liye bayak waqt intikhabaat munaqqid karne ke masla par mabahes kayi dahon se jari hai aur moodi hukoomat ya bi jay pi ne is masla ko abhi nahi cherra hai. Law Commission 1986 se is masla par tabadlah khayaal kar raha hai aur chand siyasi partiyan aur reastain yaksaa noiyat ke intikhabaat ke liye amaada nahi hain is liye ke un ki hukomatain mukhtalif waqton par muntakhib hoti rehti hain. unhon ne kaha ke Parliament aur Assemblion ke liye bayak waqt mushtarqa intikhabaat ka ineqad mufeed hoga markaz aur reyaston mein kaamil hukmarani yakeeni hogi aur waqt aur paison ki bachat hogi. do tlgo reyaston mein 2019 mein intikhabaat honay jarahay hain aur hamara khayaal hai ke doosri reastain bhi aisa hi karen. hatta ke moodi hukoomat ke daur mein bhi har saal kisi nah kisi riyasat mein intikhabaat hotay rahay. unhon ne kaha ke raqam aur waqt ki bachat ki barbadi se bachney tamam reyaston mein bayak waqt intikhabaat ki tajweez behtar hai