Hyderabad: Hukmran Telangana Rashtra Samithi ( TRS ) ne baldeati intikhabaat mein 120 mein se 100 aur 9 Muncipal Corporation mein se 7 se zayed Muncipal Corporation mein kamyabi haasil karte hue iqtidaar par qabza karliya hai. Jabkay ahem opposition congress, 3 baldiyat mein aksariyat ke sath dosray number par rahi. Bhartih Janta Party ( BJP ) aur AIMIM ne ek baldi nashist par kamyabi haasil kiya hai.
Kuch maqamat par votoun ki ginti jari hai tawaqqa hai ke shaam tak tamam nataij ka elaan kiya jaye ga. Reyasti Election commission ( SEC ) ne 134 marakaz par votoun ki ginti ki. Charshumbe ke roz, 53.37 lakh voters mein se 70 feesad voters ne 325 Muncipal Corporation ke Corporate aur Municipality ke 2,727 Counselors ke intikhab ke liye apne votoun ka istemaal kiya.
Muncipal Corporation mein kal 1,746 umeed waar maidan they. Jabkay 11,099 umeedwaroun ne Municipality ke liye apni qismat aaz maya . Jaissa ke tawaqqa ki ja rahi hai, TRS ne 100 se zayed Municipality mein aksariyat haasil karte hue 1,500 nashistain haasil ki hai. Aur congress 495 sitoun ke sath dosray number par hai.
BJP, Jo guzashta saal Lok Sabha ki 4 nashistain jeetnay ke bad ehem opposition ke tor par samnay anay ka daawa kar rahi thi, ne 223 nashistain haasil kee. Sab se dilchasp baat to ye hai ke, Mutadid baldiyat mein opposition jamaatoun ke muqablay mein azad umeedwaroun ne ziyada Seates haasil kee.
293 Wardoun mein azadumeedaroun muntakhib hue. Un mein ziyada tar TRS ke baaghi umeed waar they. Rukan parliament Hyderabad Asaduddin Owiasi ki sar barahi mein All India Majlis-e-Ittehadul Muslimeen ne 56 nashistoun par kamyabi haasil ki. Is ne Bhainsa mein iqtidaar par qabza kar liya, Jo hal hi mein firqa waranah tashadud se laraz utha tha.
9 Muncipal Corporation ke intikhabaat mein bhi TRS ka ghalba raha, Is neh 123 nashistain jiiten. Jabkay BJP ne 42 nashistoun par kamyabi haasil ki aur dosray number par rahi. Azad umeedwaroun neh 41 nashistoun par kamyabi haasil ki, Jabkay congress neh 37 nashistain haasil kee.
Municipality ke 7 Wardoun aur Corporation ke ek Ward mein TRS umeed waar mutafiqa tor par muntakhib hue they, Jabkay Municipal ke 3 wardoun mein AIMIM ke 3 umeed waar balaa muqaabla muntakhib hove they.
Yahan TRS Headquarter Telangana Bhavan mein takreeb ka ineqad kiya gaya. Party kaarkunoun ne Mithayyan takseem kee aur Patakhe phoday. TRS ke karguzar sadar aur kabini wazeer, K.T Rama Rao ne kaha ke is fatah neh un ki zimma daari mein mazeed izafah kiya hai. Unhoun neh TRS par aetmaad karne par awam ka shukriya ada kiya. No muntakhib tanzeem 27 January ko Mayor, Chairperson aur naib Chairperson ka intikhab karengi. -YTN STAFF