Hyderabad

TRS, Congress ne manaya ”Youm-e-Inzimam Hyderabad Jabke BJP ne manaya Telangana Mukti Diwas

By News Desk Roman Urdu

September 17, 2019

Hyderabad : Mangal 17 September ko mukhtalif siyasi jamaaton ke dafatir mein qaumi parcham lehra kar aur Hyderabad ke nizam se muqaabla karne walay azaadi pasandoun ki qurbaniyon ko yaad karte hue ”youm-e-Inzimam Hyderabad“ manaya gaya.

Hukmuran Telangana Rashtriya samethi ( TRS  ), opposition jamaat congress aur deegar jamaatoun ne is mauqa ko Youm-e-Inzimam ke tor par manaya, jabkay BJP ne usay ”Telangana Mukti Diwas ke tor par manaya.

Wazeh hoke 17 September 1948 ko, aaj hi ke din hyderabad ki saltanat ”Police action “ ke baad hindustani union mein zam ho gayi thi. kyunkay nizaam ki fouj ke khilaaf hindustani fouj ne muhim chalaye thi. TRS  head quarter, Telangana Bhawan mein munaqidah ”Youm-e-Inzimam Hyderabad taqreeb ki qayadat party ke car-guzaar sadar KTR ne kiya. unhon ne qaumi parcham lahraya aur ” Telugu Talli Telangana ke mufakkir professor jaya Shankar ke mujasma ko haar pehnaya. is taqreeb mein wazraa Mahmood Ali , Malla Reddy, Srinivas Goud, arkaan-e-parliment, reyasti arkaan assembly aur deegar qaideen ne shirkat ki.

BJP ne Riyasat bhar mein ”Telangana mukti Diwas manaya aur qaideen ne qaumi parcham lehraya. unhon ne ”Tiranga Rally“ bhi nikaali, aur mutalba kiya ke is din ko ba-zabta tor par manaya jaye. markazi parlimani umoor ke wazeer Prahlad joshi ne Hyderabad mein BJP ke reyasti daftar mein qaumi parcham lehraya. markazi wazeer mumlikat baraye dakhla kishan reddy, Vidya sagar rao, reyasti BJP ke sarbarah Dr laxman aur deegar qaideen ne is taqreeb mein shirkat ki.

Is mauqa par baat karte hue Dr Laxman ne reyasti hukoomat par ilzaam lagaya ke TRS  hukoomat apni ittihadi MIM ke dabao mein aakar, is din ko sarkari satah par nahi mana rahi hai.

Laxman ne daawa kiya ke wazeer-e-aala KCR ne Telangana tehreek ke douran is din ko ba-zabta tor par mananay ka wada kiya tha, lekin Iqtidaar mein anay ke baad woh apne waday se mukhar gay. jabkay kishan reddy ne kaha ke TRS  hukoomat MIM se khaufzadah hai. unhon ne mutalba kiya ke Telangana ki azaadi ki tareekh ko darsi kutub mein shaamil kiya jaye, taakay aindah nasloun ko apne aaba wo ajdaad ki qurbanion ke baray mein pata chalay.

Idhar congress party ke reyasti sadar daftar Gandhi Bhawan mein bhi youm-e-Inzimam Hyderabad manaya gaya. reyasti congress ke sarbarah Uttam kumar reddy ne qaumi parcham lehraya. is mauqa par unhon ne kaha ke ”jawahar laal nehru aur sardar Vallabhai bhai patel ki koshisho ki badolat hyderabad hindustan mein zam hogaya.

Unhon ne daawa kiya ke congress aur communist ne Nizam se muqaabla kiya, jo Pakistan mein shaamil hona chahtay they. Congress rehnuma ne kaha ke Nizam ke khilaaf ladai karne ka mazhab se koi talluq nahi hai, lekin BJP usay mazhab se jodh kar tareekh ko bigadhne ki koshish kar rahi hai.

Mazkoorah Youm-e-Inzimam Hyderabad, TDP ke daftar mein bhi manaya gaya. party ke rehnuma Ravula Chandrashekhar Reddy  ne NTR trust Bhawan mein tirangaa lehraya. munqasim Andhra Pradesh mein pichli hukoomatoun ki tarhan Telangana mein bhi TRS  hukoomat ne bazabta tor par is din ko mananay ke mutalibaat ko mustard kar diya hai.

TRS rehnumao ne BJP par ”tafaruqa angaiz siasat may mulawis honay ka ilzaam aaed kiya.

Musalman kisi bhi taqreeb ke mukhalif hain kyunkay unka kehna hai ke ”Police action“ ke douran musalmanoun ka qatl-e-aam kiya gaya tha. AIMIM ne kaha hai ke pooray mulk ke liye youm-e-azaadi ka ek hi din hai, lehaza Telangana mein alag alag jashnn ki koi zaroorat nahi hai. –YTN STAFF