Slider

Tohfoun mein currency note ke istemaal par sakht karwai ka intibah

By News Desk Roman Urdu

November 06, 2019

Riyadh : Saudi Arabian Monetary Authority ( SAMA ) ke governor Dr Ahmed bin abdul kareem al khalifa ne hidayat jari ki hai ke Ahaef packet mein currency note sajaaney par 3 taa 10 hazaar Riyal jurmana aur 5 baras qaid ki muqarara saza nafiz ki jaye.

Tafseelaat ke mutabiq governor sama ne kaha ke currency note mein jealsaazi se mutaliq Shahi farmaan mein yeh baat mojood hai ke agar koi shakhs Araish ke liye currency note istemaal karega to woh qaumi alamat ki tauheen ka murtakib hoga. Aisa karne se currency note ki ahmiyat kam hogi. is amal par wohi saza di jaye jo currency mein jealsaazi ke liye muqarrar hai.

Sama ke governor ne wazeh kiya guldastoun ke tajir aur mukhtalif Ahaef farokht karne walay aam tour par currency note guldastay ya Ahaef mein sajaate hain woh aisa karkay Saudi currency ki tauheen ke murtakib ho rahay hain. jo shakhs bhi guldastay ya kisi bhi qisam ke Ahaef mein currency note sajayega usay 3 taa 5 baras tak qaid aur 3 taa 10 hazaar Riyal jurmana kiya jayega. un dono sazaon mein se kisi ek par aktfa bhi kiya ja sakta hai.

Dr al khalifa ne ye hidaayat un reporters ke tanazur mein jari ki hai jin mein bataya gaya ke shadi biyah aur khushi ki mukhtalif taqrebaat mein guldastay pesh karne walay currency note bhi istemaal karte hain.

Currency note ki shakal wo soorat bigadh jaaney ya kisi chemical maday se mutasir honay ki soorat mein kharab hojatay hain. kharab note tabdeel karne ke liye sama se  rujoo kiya ja raha hai aur mutabadil note talabb karne walon ki tadaad din badan badhti jarahi hai. –YTN STAFF