Dubai: Aalmi tanzeem sayahat ke iqtisadi musheer Dr Saeed Batuti ne kaha hai ke mashriq wasti mein March 2020 ke douran Hotels ka karubar samatna shuru huwa taham April mein mukammal khatam hogaya albata May mein sorat e haal behtar huvi hai.
Un ke mutabiq ek kamray ka kiraya 23.03 dollar yani taqreeban 100 Saudi Riyal ke qareeb aagaya. Website ke mutabiq Al-Batuti ne bataya ke rawan saal May mashriq wasti ke Hotels ke liye aamdani aur munafe ke hawalay se ahem moud saabit huwa hai. Feb, March aur April ke baad pehli martaba kirayoun mein behtari aayi hai aur ek kamray ka kiraya 100 Saudi Riyal ke qareeb pahonch gi
May 2019 ke muqablay mein kiraya 78.4 feesad kam honay ke bawajood April 2020 ke muqablay mein 5.9 feesad behtar raha hai. Iqtisadi musheer ne kaha hai ke May mein Hotels ke masroof honay ki sharah behtar honay ke bawajood April ke muqablay mein 14.5 feesad kam rahi. Is se andaza lagaya ja sakta hai ke mashriq wasti mein Hotels ke malikaan kaarobar ki khatir kirayoun mein ghayr-maa’mooli kami ki qurbani day rahay hain.
Unhoun ne mazeed kaha ke April ke muqablay mein May ke douran ek kamray ki majmoi aamdani mein 10.5 feesad ka izafah huwa hai. Khanay peenay ki ashya ki aamdani mein 25 feesad izafah huwa. Un ke mutabiq Hotels ke akhrajaat mein kami ka silsila jari hai. Amlay ke akhrajaat 50.6 feesad aur salana ki bunyaad par majmoi akhrajaat mein 50.5 feesad ki kami record ki gayi hai. May mein fi kamrah kiraya bhedne ke bawajood izafi aamdani nah honay ke barabar rahi.