Hyderabad: Teraaki ka shoq tha jo is ki zindagi ka maqsad ban gaya. Shiva nah sirf insanon ki qeemti jaan bachanay mein kamyaab raha balkay kayi maskh shuda laashon ko Hyderabad ki Hussain Sagar se nikaalne mein kamyaab raha. 42 sala Hanumanthu alias Shiva ki kahani deegar se kaafi hatt kar hai. Wo Hussain Sagar ke qareeb rehne wala mashhoor shakhs hai. Is nay ab tak takreeban 100 aisay afraad ko khudkushi se bachaaya jo is jheel mein apni jaan dainay ke liye aaye they. Shiva mashhoor tairaak hai. Wo apne khandan ke sath Karman Ghat ilaqa mein rehta hai.
Apni kahani bayan karte hue Shiva kehta hai ke Hussain Sagar ke qareeb wo aisay hi khaali auqaat mein betha tha ke police wahan pohanchi jis ko ek tairaak ki talaash thi taakay jheel se laash nikaali jasakay. Is waqt police ne is ko is kaam ki peshkash ki jis par wo fori razamand hogaya aur kamyabi ke sath laash nikaalne par police bhi herat zada hogayi. Ye waqea is ki zindagi ko badalny ke liye kaafi tha. Is kamyabi se hosla paker is ne isi kaam ko jari rakhnay ka faisla kiya. Apni purani yaado ko taaza karte hue Shiva kehta hai ke Ganesh ki mortiyon mein istemaal honay wali lohay ki salakhon ko nikaalne ke liye is ny kayi martaba Hussain Sagar jheel mein chhalang lagai. Is ny takreeban 100 afraad ko Hussain Sagar jheel mein khudkushi se bachanay mein kamyabi haasil ki
Shiva ki zindagi mukhtalif Hostels mein guzri. Jab wo hostel se nikla to wo sadkon par phirnay ke liye majaboor tha kyunkay is ke paas koi kaam nahi tha. Ek din sadak par Maleshwaramma nami khatoon is ko mili jis ney is ko beta banaliya. Wo ek ghayr-maa’mooli tairaak hai. Is ney kaha ke lake inspector Dhana Lakshmi ney is ke 3 bachon ko Residential School mein dakhla dilanay mein ahem rule ada kiya.