Telangana transport

Latest News

Telangana transport ke karkunaan mulk gear hadtaal mein shaamil honge

By News Desk Roman Urdu

November 13, 2020

Hyderabad: Telangana state Taxi and driver JAC aur tamam tansport karkun 26 November ko all India hadtaal mein shaamil honge. Coordination committee ne kaha hai ke Diesel ki qeematon mein ghair mamooli izafay, insurance premium rate, tool charges, road tax aur deegar masail ne amad wo raft ko tabah kardiya hai. sanat, tansport workers ki janib se kiye gaye mulk geer hadtaal elaan ke baais 26 November ko truck, bus, auto, taxi aur deegar gadiyaan mulk bhar ki sadkon par band rahengi.

Telangana state taxi and driver JAC aur road tansport workers organization ke tansport workers JAC ne hadtaal ke sntrl central trade union association ki taraf se kiye gaye ek roza aam hadtaal se hum ahangi ka elaan kiya hai.

Mukhtalif driveron ko jin masail saamna hai un ke baray mein baat karte hue, Telangana lorry malkaan association ke working sadar ne kaha hai ke hum ne tamam rehnumao aur ohdedaron se rujoo kiya hai lekin koi bhi hamari madad nahi karna chahta hai. yahan tak ke aam awam bhi ki baat nahi sun rahay hain.

hamaray masail ki yaksoi ke liye 26 November ko riyasat mein 5,00,000 se ziyada tansport karkun hartaal par honge. hum umeed karte hain ke hukoomat is martaba hamari baat sun legi. 11 November ko JAC ne tansport ki sanat aur kaarkunon ki sorat-e-haal ka jaiza lainay ke liye ek majazi ijlaas munaqqid kiya. Karkun 24 ghantay yeh jantay hue kaam kar rahay hain ke woh covid se mutasir honge. Telangana state taxi and driver JAC Salah uddin ne kaha covid ki wajah se inteqaal karne walay tansport workers insurance  scheme ke tehat nahi atay hain. committee ne mazeed kaha ke unke paas koi masharti tahaffuz nahi hai .

Salah uddin ne mazeed kaha hai ke wabai amraaz phelnay se pehlay hi tansport ki sanat badey bohraan ka shikaar thi sitam baalaye sitam coviud ne is bohraan mein mazeed izafah kardiya. auto aur taxi driveron ki haalat behtar nahi hai. companiyon ne driveron ke liye mara-aat ka khatama karna shuru kiya jis se riyasat bhar mein muzahirey shuru hue.

Joint action committee ne tamam transport kaarkunon aur deegar tamam stock holders se appeal ki hai ke woh hadtaal mein hissa len aur transport kaarkunon ki taaqat aur ittehaad ka muzahira karen.