Slider

Telangana se mut-tasil Maharashtra ke gaon ke logoun ka apne gaon ko Telangana mein zam karne ka hai iradah

By News Desk Roman Urdu

September 17, 2019

Hyderabad : Maharashtra ke Nanded zila se mut-tasil Telangana ke 5 assembly ilaqon mein mojood gaon ke muntakhib numaindon sameit deegar log Telangana hukoomat se mutalba kar rahay hain ke woh un gaon mein Telangana hukoomat ki falahi schemes ko nafiz karen ya unke dehaton ko riyasat-e-Telangana mein zam kiya jaye.

Mutadid siyasi jamaatoun se wabsta awam aur muntakhib numaindoun ne is mutalbe ke sath aindah intikhabaat ladne ka faisla kiya hai. unhon ne apne is faislay ki ittila wazeer-e-aala K.Chandra Shekhar Rao se mangal ke roz mulaqaat karte hue di. aur unki tehreek ke liye wazeer-e-aala ki himayat ki darkhwast ki.

Unhon ne kaha ke agar unko alot kiya jata hai to woh TRS party ke ticket par intikhabaat ladnay ke liye tayyar hain.

Riyasat Maharashtra ke Telangana ki sarhad se mut-tasil, riyasat Maharashtra ke zila nanded ke, Nalgaon, Bhokar, Degloor, Kinwat aur Hathgaon assembly halqon ke rehnumao ne assembly ke ahatay mein Telangana ke wazeer-e-aala KCR se mulaqaat ki.

Unhon ne wazeer-e-aala ko bataya ke ”hamare dehaat riyasat Telangana se miley hue hain, lekin jab hamaray dehaton aur riyasat Telangana mein sorat-e-haal ka mawazna kiya jata hai to yeh bohat mukhtalif hain.

Hamaray nazdeek waqay Telangana ke dehaton mein awam aur kisaan bohat khush hain, jabkay hum pareshani ka shikaar hain.

Un logoun ne Riyasat Telangana ki mukhtalif schemes ka tafseeli zikar kiya, aur apni reyasti hukoomat ki khamion ko, aur unke tain kotahiyoun ko ujagar kiya. unhon ne kaha ke ”hamara mutalba hai ke riyasat Maharashtra, riyasat Telangana ke zareya chalaye jaaney wali flahi schemes ko nafiz kare. agar Maharashtra hukoomat aisa karne ki position mein nahi hai to hum apne gaon ko riyasat Telangana mein zam karne ka mutalba kar rahay hain.

Maharashtra ke dehaton se taluq rakhnay walay awam aur muntakhib numaindon ke masail ko sunney ke baad wazeer-e-aala ne kaha ke ”zila nanded se talluq rakhnay walay 5 assembly halqa ke logon ke alawa Bhiwandi, Sholapur aur Rajara se bhi log assembly intekhabat ladne ke liye TRS ke ticket maang rahay hain. lehaza is par jald hi faisla liya jayega. unhon ne yeh bhi kaha ke riyasat Telangana mein flahi schemes ke nifaz ka mutalba wajibi hai aur umeed hai ke Maharashtra hukoomat is mutalbe par amal karegi. –YTN STAFF