Jurm

Telangana Police ne aik aur tool ka izafah kya. Mobile App ke liye soorat shanasi

By Abdul Aziz

August 02, 2018

Hyderabad. Telangana State Police ne mujrimeen ki shanakht mein tafteesh kunindgaan ohdedaron ki sahoolat ke liye apne Mobile Application TSCOP ke liye aik aur tool ka izafah kya hai. Director General of Police Telangana Mr. M. Mahindra Reddy ne aaj Hyderabad mein aik press conference se khitaab karte hue bataya ke ‘chehra ki shanakht ka nizaam’ tafteesh kunindgaan ko kisi fard ke chehra ka CCTNS ke database mein mehfooz mujrimeen ki digital photos se taqabul karte hue mushtaba mujrimeen ka pata chalanay mein madad mil sakti hai. Database mein matloob afraad, gumshudaa afraad, qanoon shikan afraad aur media mein pehlay hi se shaya girftar shuda afraad ki tasaveer mehfooz hain. Unhon ne wazeh kiya ke adalaton mein soorat shanasi ki taknik ko adalaton mein bataur shahadat istemaal nahi kya jata. Unhon ne bataya ke is tool se mushtaba afraad ke baaray mein yeh pata chalanay mein madad miley gi ke aaya woh maazi mein kisi jurm mein mulawis to nahi hai. Unhon ne bataya ke is se gumshudaa afraad, ghair shanakht shuda laashon ki shanakht karne mein bhi madad miley gi aur CC TV cameras mein qaid kisi waardaat ke footage ka taqabul hamaray database mein mojood tasaveer se taqabul karte hue qanoon shikan afraad ka pata chalanay mein barri madad miley gi. Unhon ne bataya ke hum androon aur bairon riyasat akhbarat mein shaya girftar afraad ki tasaveer ko bhi database mein shaamil kya ja raha hai. yahi nahi balkay is database ko mazeed muaser bananay ke liye hum qadeem records ko bhi upload kar rahay hain. Unhon ne aik sawal ke jawab mein bataya ke is system ke zareya hamaray database mein maujood 10-15 baras qabal li gayi tasaveer se mushtaba fard ka taqabul kya ja sakta hai. Mr. Mahindra Reddy ne bataya ke hum Mulk ki deegar reyaston se bhi mujrimeen ki tasaveer aur in ke baaray mein maloomat aur dastyab data haasil kar rahay hain taakay deegar riyaston se hamari riyasat mein daakhil honay walay qanoon shikan afraad par kari nazar rakhi jasakay. Unhon ne bataya ke is system se tehqeeq o tafteesh karne walay Police ohdedaron ko is nai sahoolat se juraim ka pata laganay mein barri madad miley gi.