Hyderabad: September mein huvi barisho ke baad Telangana mein mukhtalif maqamat par zair zameen pani ki satah mein khatir khuwa izafah huwa hai. Aabi saal 2020-21 ke douran riyasat mein 1,078.3 Millimeter ki asal barish huvi, Jabkay 30 September 2020 tak 720.4 Millimeter mamooli barish huvi.
Is terhan riyasat mein is saal ke douran September 2020 tak mamool ki salana barish ke muqablay mein 50% ziyada barish huvi hai. Telangana ke mehakma zameeni pani ke mutabiq September 2020 ke douran 4.47 meter ki zair zamin pani ki satah mein khalis izafah dekha gaya hai. September 2019 ke muqablay mein aur yeh izafah Adilabad ke siwa tamam azlaa mein record huwa hai, Jahan manfi 0.06 meter ki kami nah honay ke barabar dekhi gayi hai. Riyasat mein September 2020 ke douran zameeni satah ki ost satah ( MBGL ) se 5.38 meter neechay hai aur yeh 1.36 meter BGL Warangal se 16.10 meter BGL ( Sangareddy ) mein mukhtalif hai. GED ke mutabiq May 2020 ke muqaabla mein September 2020 ke douran zameeni pani ki satah mein ostan 5.90 izafah dekha gaya aur yeh izafah tamam azlaa mein 1.15 meter Wanaparthy se Medak mein 10.09 meter tak dekhnay mein aaya hai.
Mehakma ki janib se jari kardah un adaad-o-shumaar ke baad awam mein ek qisam ka itminan dekha ja raha hai jis ki kayi ek wajohaat hain lekin sab se ahem wajah shehron mein un afraad ke liye raahat ka samaan hai jin ka ziyada inhisaar Borewell par hota hai. Guzashta chand barson ke douran jahan mojooda Borewell se pani nahi araha tha wahein hukoomat ki janib se naye Borewell ki khudayi par pabandi ayed kar di gayi thi. Hukoomat ki janib se ayad kardah is pabandi ki wajah se hama manzila imaarton ke liye kaafi mushkilaat ka saamna karna padh raha tha.