Hyderabad

Telangana mein Coronavirus se koi mutasir nahi, Sardi, Zukam aam noiyat ke amraaz

By News Desk Roman Urdu

January 28, 2020

Hyderabad: China mein Coronavirus ki jo dehshat hai is ne Hindustan aur deegar mumalik ko bhi fikar mand kardiya hai lekin ta haal riyasat Telangana mein Coronavirus se mutasir honay ki koi khabar nahi hai. Badhatay hue Coronavirus ke khatray ke pesh e nazar fever Hospital mein ek ahteyati iqdaam ke tor par alehda ward mein daakhil honay walay 4 afraad ko dawakhana se kharij ( Discharge ) kardiya gaya hai kyunkay un ki tabiyat mamool ke mutabiq thi. Telangana ke mehakma sahet ke ohdedaroun ne 1 shakhs ka namona halki sardi aur bhari naak ke sath NIV Pune ko rawana lekin ye Report Coronavirus ( NCOV ) ke barey mein manfi niklee.

Un 4 mein se 3 afraad ne chand haftay pehlay China ka safar kiya tha jabkay choutha shakhs un mein se ek ki ahliya hai. Un sab ne sahet ke ohdedaroun se rabita kiya jis ke baad inhen Doctoroun ke zareya tashkez ke liye allag thalag ward mein daakhil kiya gaya tha. Halki sardi walay sirf is shakhs ka namona bheja gaya tha jab ke doosroun ke namoonay rawana nahi kiye gaye they kyunkay un ki haalat mein koi mushtaba alamat nahi thi. Doctoroun ke mutabiq un 4 afraad ko jin ki umrein 28 se 35 saal ke darmain hain un tamam ko aglay ek do haftoun mein hooshiyar rehne aur sahet ka behtar khayaal rakhnay ka mashwara diya gaya hai aur agar wo bemaar hojayen to fori tor par mehakma se mashwara karne ki hidayat di gayi hai.

Wazeh ho ke Fever Hospital ne pichlle kuch dinoun mein ab tak 2 shehrioun ke namoonay NIV Pune beje hain aur un dono hi namonoun ki report manfi aayi hai. Darin asna teen rukni Central Team Hyderabad pohanchi taakay mohlik virus se nimatnay ki tayari ke barey mein Telangana ke mehakma sahet ke ohdedaroun se baat cheet kere. Ye team Shamshabad Airport dora bhi kere gi taakay Airport par bairooni mumalik se anay walay musafereen ka bhi muaina kar sakay taakay Coronavirus ko shehar mein daakhil honay se roka jasakay. Wizarat sahet ke mutabiq abhi tak 155 parwazoun mein China se safar karne walay jumla 33552 musafiroun ki tashkeez ki gayi. China se 18 parwazoun mein 4359 musafiroun ko peer ko is Virus ki screening ki gayi jis ke baad hukkaam ne kaha hai ke abhi tak Hindustan mein Coronavirus ka koi case nahi mila. –YTN STAFF