Latest News

Telangana mein Coronavirus ki doosri lehar ka khauf, Awam ko ahthiyat karne ka intibah

By News Desk Roman Urdu

November 02, 2020

Hyderabad: Riyasat Telangana mein Coronavirus ki doosri lehar se bachney ke liye hukoomat ahthiyati tadabeer par apni tawajah markooz kar rahi hai. Awam ko yeh farz nah karne ki Appeal ke Coronavirus ka khatrah ab mojood nahi hai. Mehakma sehat ke ohdedaron ne mutnabba kiya hai ke ahteyati tadabeer mein kisi bhi qisam ki ghaflat mareezon ki tadaad mein izafah ka sabab ban sakti hai.

Mojooda halaat mein yeh hargiz nahi kaha ja sakta ke Telangana mein kam hi misbet mamlaat ( mareez ) darj kiye jarahay hain kyunkay rozana naye mareezon ki jo tadaad manzar aam par aa rahi hai is ka raast talluq awam mein Coronavirus ki jaanch se hai kyunkay jis din ziyada logon ka Corona test kiya jata hai is din mareezon ki tadaad bhi ziyada hoti hai aur jis din kam tadaad mein awam ko Corona test liya jata hai is din naye mareezon ki tadaad kam darj hoti hai. Jaisa ke August ke aakhir hafta se September ke mahinay tak sab se ziyada 2500 se 3000 naye mareez manzar aam par aaye thay kyunkay is arsa mein roz aanah 55 taa 60 hazaar afraad ka Corona test kiya ja raha tha.

Aahista aahista Corona test ke namonon ki tadaad kam hogayi jis se naye mareezon ki tadaad mein bhi kami waqay hui hai. Pichlle haftay se ek din mein 40 hazaar ke qareeb awam mein Corona Test kiya ja raha hai jis ki wajah se naye mareezon ki tadaad 1200 taa 1500 ke darmiyan darj horahee hai. Testing bal tarteeb itwaar aur peer ko taqreeban 15 aur 21 hazaar reh gayi. Itwaar ko tateel aur tehwar ka mausam honay ki wajah se is kami ko girnay ki wajah qarar diya gaya tha.

Jab awam mein Corona test mein izafah huwa to, Naye mareezon ki tadaad mein bhi izafah huwa jis ne yeh mafrooza khatam kardiya ke riyasat mein corona ka assar khatam hogaya hai.

Europe mumalik mein Corona ke mareezon ki doosri lehar Telangana riyasat ke sarkari ohdedaron ko bohat ziyada pareshani mein daal rahi hai. Is zimn mein haliya dinon mein mehakma sehat, Mehakma panchayat raaj, Khawateen aur bachon ki behbood ke mehakma ke ohdedaron ne wabai amraaz se mutaliq ek ijlaas munaqqid kiya tha.

Ohdedaron ne kaha ke Corona ke naye mamlaat Europe mumalik mein badh gaye hain kyunkay wahan ke logon ne ahteyati tadabeer ikhtiyar karna chod diya hai. Unhoun ne kaha ke agar log baday ijitmaat mein hissa len ge to Telangana mein naye mareez ek martaba phir badh jayen ge.

Awam par zor diya ja raha hai ke woh jab bhi baher niklen, Mask pehnein, Haath dholen ya jab bhi woh kisi cheez ya kisi ko haath lagayen to apne hathon ko saaf karen, 6 feet ka faasla barqarar rakhen aur bheed aur ijtimai ijitmaat se ijtinab karen.