Hyderabad: Telangana mein hafta ko coronavirus ke 2256 naye mamlaat darj kiye gaye. Is terhan riyasat mein is waba ke jumla mamlaat ki tadaad 77,513 hogayi hai. Guzashta roz 14 afraad ki is se mout waqay hui. Riyasat mein ta haal corona se marnay walon ki jumla tadaad 615 tak japohanchi hai. Director of public health ki janib se jari kardah Bulletin ke mutabiq riyasat mein corona ke jumla mutasireen ki tadaad 77,513 hai. Taqreeban 1091 afraad ruba sahet hue hain jin ko Telangana ke mukhtalif Hospitals se ghar janay ki ijazat day di gayi hai. Is terhan riyasat mein ruba sahet honay walon ki tadaad 54,330 hugayi hai.
Riyasat mein hanoz 21 hazaar se zayed sargaram mamlaat hain. Is Bulletin ke mutabiq 464 naye mamlaat GHMC hudood mein darj kiye gaye hain jabkay zila Medchal Malkajgiri, 101 in Karim Nagar dist,187 in Warangal Urban arbn zila mein 187 mamlaat darj kiye gaye hain. Isi douran LB Nagar ke rukan Assembly Sudhir Reddy bhi corona se mutasir hugaye. Un ke ghar walon ke bhi test karwaye gaye jis mein un ki biwi, 2 betay aur bawarchi bhi is se mutaser paya gaya, Baad azan Ye tamam Quarantine mein chalay gaye. Darin Isna corona ke badhatay hoye mamlaat ke pesh-e-nazar Medak zila mein kal se baldia ney apne tor par lockdown ka elaan kiya hai jo is mah ki 16 tareek taq jari rahay ga.