Slider

Telangana mein Coronavirus dam todnay laga?

By News Desk Roman Urdu

September 23, 2020

Hyderabad: Riyasat Telangana ke awam ne coronavirus ke khilaaf khud ko zehni tor par mazboot karliya hai, Aisay misbet isharay mil rahay hain aur awam mein virus ke khilaaf khauf se ziyada ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue khud ko mehfooz rakhnay ka rujhan kaafi badh chuka hai jis ki wajah se Telangana mein coronavirus se sehat yab honay ki sharah bhi kaafi badh chuki hai.

Sehat ke ohdedaron ne kaha hai ke Telangana mein Covid19 ke mareezon ki sehat yabi ke sharah 82 feesad se tajawaz kar gayi hai. Paiir ko 8 bajey tak khatam honay walay aakhri 24 ghanton ke douran majmoi tor par 2143 afraad virus se sehat yab hue. Is ke sath hi riyasat mein majmoi sehat 144073 hogayi. Bahaali ki sharah osatan 80. 82 feesad ke muqablay mein 82.43 feesad hogayi hai.

Hukkaam ne kaha hai ke riyasat mein mareezon ki sehat yabi ki tadaad guzashta 24 ghanton ke douran 2166 naye muqadmaat darj honay ke sath 174774 hogayi. Is arsay ke douran 10 mazeed afraad mout ka shikaar hogaye, Jis se riyasat mein halakaton ki tadaad 1052 hogayi. Riyasat mein amwaat ki sharah qaumi osat 1.60 feesad ke muqablay mein 0.60 feesad hai. GHMC ne kaha hai ke Rangreddy zila mein 309 naye mamlaat  record hue jab ke Malkajgiri, Medchal mein 147 ka izafah huwa. Karimnagar mein mareezon ki tadaad 127 aur Nalgonda mein 113 badh gayi.

Warangal urban mein 95 naye, Nizamabad aur Mehboobabad mein 90 mamlaat  record hue. Director public health and family welfare ke daftar se jari kardah media bulletin ke mutabeq Siddipet 88 aur Khammam mein  87 mamlaat darj hue hain. Guzashta 24 ghanton ke douran 53690 test kiye gaye. Sarkari tor par chalne wali 17 laboratories 43 khangi Laboratories aur 1076 wa Rapid Antigen test marakaz mein yeh muanay  chal rahay hain. Riyasat mein fa-aal mareezon ki tadaad 29649 hai.