Hyderabad: Telangana mein jumaraat ko corona ke 2092 naye mamlaat darj kiye gaye hain, Is terhan riyasat mein is infection se mutasir honay walon ki tadaad badh kar 73,050 tak japohnchi hai. Guzashta roz 13 afraad ki is se mout hui thi jis ke baad riyasat mein corona se marnay walon ki tadaad 589 tak japohnchi. Director mehakma sahet aama-o-khandani behbood ki janib se jari kardah Bulletin ke mutabiq jumaraat ko riyasat mein corona ke jumla mamlaat 73,050 hogaye hain. Takreeban 1289 afraad robah sahet hogaye hain jin ko Telangana ke mukhtalif Hospitals se gharon ko janay ki ijazat day di gayi hai.
Is terhan riyasat mein corona se robah sahet honay walon ki tadaad 52,103 hogayi hai. Ohdedaron ney bataya ke riyasat mein corona ke sargaram mamlaat ki tadaad 20,358 hai. Mehakma sahet ke hukkaam ney 21,346 mayene karwaye aur riyasat mein jumla 5,43,489 mayene ab tak karwaye gaye. Ohdedaron ney kaha ke un mayenon mein se 1550 mayenon ke nataij jari kiye gaye.
Bulletin ke mutabiq GHMC hudood mein 535, Ranga Reddy,126 Medchal Malkajgiri, 123 Karim Nagar dist,128 Warangal Urban Dist, 101 Sanga Reddy Dist. zila mein 101 naye mamlaat guzashta 24 ghanton ke douran darj kiye gaye. Isi douran AP mein bhi corona ke mamlaat jari hain. Guzashta 24 ghanton ke douran 10,128 naye mamlaat darj kiye gaye aur 77 amwaat huven. Ye amwaat ki tadaad ab tak ki sab se ziyada tadaad hai jin ki corona se ek hi din mein amwaat huvi hain.