Slider

Telangana mein Corona ke 1610 naye mamlaat. 9 Amwaat

By News Desk Roman Urdu

July 28, 2020

Hyderabad: Telangana mein guzashta 24 ghantoun ke douran Coronavirus ke 1610 naye mamlaat darj kiye gaye. Director sehat aama-o-khandani behbood ki janib se jari kardah Bulletin mein kaha gaya hai ke kal shab tak 1610 naye mamlaat darj kiye gaye. Is terhan jumla mamlaat ki tadaad badh kar 57142 hogayi. Is waba se guzashta 24 ghantoun ke douran 9 afraad ki mout huvi hai.

Covid-19 se ta haal 480 amwaat huvi hain aur 803 afraad ruba sehat huve hain. Is terhan ruba sehat honay waloun ki tadaad badh kar 40909 hogayi hai. Is Bulletin ke mutabiq GHMC ilaqa mein 531 naye mamlaat darj kiye gaye. Zila Karim Nagar 48, Jouglamba Gadwal 340, Khammam 26, Mehboob Nagar 23, Medchal Malkajgiri 113, Jayashankar Bhopal pally 20, Mulugu 32, Nalgonda 26, Nizamabad 58, Rangareddy 172, Warangal urban 152, Warangal Rural 25, SangaReddy 74, Suryapet 35.naye mamlaat darj kiye gaye.