Hyderabad

Telangana mein BJP ki daal nahi galay gi: Barrister Owaisi

By News Desk Roman Urdu

October 11, 2018

Hyderabad. Sadar Majlis Ittehad ul Muslimeen wo rukn e Parliament Hyderabad Barrister Asaduddin Owaisi ney kaha ke sadar BJP Amit Shah ko yeh tasleem karlena hoga ke Telangana, shumali Hind ki terha nahi hai. Yahan awam ki hukmarani hai. Yahan gow rakshkoon ya RSS walon ka raaj nahi hai. Barrister Owaisi aaj Amit Shah ke Hyderabad mein un ke khilaaf kiye gaye remarks par rad-e-amal zahir kar rahay thea. Unhon ney kaha ke Amit Shah kitna bhi halaq phaad kar pukar lein yahan koi un ke daam faraib mein anay wala nahi hai. Unhon ney kaha ke Telangana mein gau rakshakoon  ke naam par logon ko nahi mara jata. Yahan par bachay aur bachiyon ke baat karne par nahi mara jata. Telangana mein aman o shanti hai. Yahan ke awam hamesha yeh paigham dey rahay hain ke woh motanaza tahazeeb par yaqeen rakhney walay hain woh Ganga Jamuni tahazeeb ke alambardar hain. Telangana ka yahi mahol un ke liye pareshan kiya hai aur woh usay bardasht nahi kar pate. KCR ke baaray mein Amit Shah ke is tabsarah par ke woh Owaisi ke ishaaron par naach rahay hain, Barrister Owaisi ney kaha ke haqeeqat to yeh hai ke Amit Shah Gow Rakshoon ke ishaaron par naachtay hain, RSS ki bansuri par naachtay hain. Amit Shah apna kisi ke isharon par naach karna chode den. Dastoor ko manein. Telangana mein dastoor ka raaj hai. Telangana mein BJP ki daal galney wali nahi hai. Yahan par aap dekhen ge ke yahan kamyabi sirf un ko hogi jo dastoor ko mantay hain aur motanza tahazeeb par yaqeen rakhtay hain. Yahan un ki ishtial angazi ka kuch assar honey wala nahi hai. Inhen yahan nakami ka saamna karna pade ga.