Hyderabad : Riyasat-e-Telangana mein is martaba mausam-e-barsaat mein 38 feesad kam barish hui hai lekin iske bawajood zaraat ko koi ziyada nuqsaan honay ka khadsha zahir nahi kiya gaya hai kyunkay aindah mah august aur September mein behtar barish ke imkanaat roshan hain. IMD ke metrological center ke mutabiq 1 June se 25 July ke darmiyan 199 mili meter barish record ki gayi hai halaanke is arsay ke douran ausatan barish 318.5 mili meter honi chahiye thi jis se maloom hua ke mazkoorah arsay mein Telangana mein 38 feesad kam barish hui hai.
Riyasat-e-Telangana mein kam barish ke bawajood hukkaam nay umeed zahir ki hai ke zaraat ke shobay ko aur khaas kar kisanoun ko pareshan honay ki zaroorat nahi hai kyunkay mah august aur September mein behtar barish ke imkanaat roshan hain. Agriculture shobay ke state principal secretary nay kaha hai ke ke manson jo is martaba takheer se shuru hua lekin June aur July mein jo barish hui hai woh fasloun ke liye kaafi hai aur jab ke augst aur September mein mein behtar barish ke imkanaat roshan hain, lehaza reyasti awam aur khaas kar kisanoun ko pareshan honay ki zaroorat nahi hai taham unhon nay yeh bhi wazahat ki hai ke zaraat ke shobay mein chand aisi faslein bhi hain jinhein taiz barish ki zaroorat hoti hai lehaza un fasloun ke liye aindah mah mein behtar umeed ki ja sakti hai.
Alawa azeen Telangana mein kayi ek aabi project hain jis mein khaas kar sri ram project bhi shaamil hai jis mein padosi reyaston maharashtra aur karnatak se bhi pani haasil kiya jata hai. Is project ke liye padosi reyaston mein honay wali taiz barish bhi khush aaind hai. unhoun nay mazeed kaha ke aindah 15 aur 20 dinon ka intezaar kiya jaraha hai jis mein behtar barish ke imkanaat roshan hain lekin iske bawajood mazeed mousmi barsaat mein jitni barish record ki jani chahiye is mein kami hosakti hai.
Iske alawa ek aur ohdedar Raja rao ne aindah doh mah august aur September mein Telangana ki barish ki paish qiyaasi ki tafseelaat batatay hue kaha ke aindah do mah mein Telangana mein barish mamool ke mutabiq honay ke imkanaat roshan hain aur yeh bhi umeed ki jarahi hai ke June aur July mein barish mein jo kami hui hai woh august aur September mein poori hojayegi lekin iske bawajood yeh nahi kaha jasakta hai ke jo 38 feesad ba rush kam record ki gayi hai iska azaala hojayega. junoob maghribi monsoon jo aam tor par Telangana mein 5 June ko pohanchana hai lekin is martaba is mein takheer hui aur yeh 21 June ko Telangana pouncha tha. Telangana mein monsoon ki aamad takheer se hui lekin umeed ki jasakti hai ke aindah do mah mein behtar barish se iska azaala hojayega. –YTN STAFF