Telangana

Telangana mein 1.2 lakh gadiyaan zabt

By News Desk Roman Urdu

April 23, 2020

Hyderabad: Telangana State Police ne Lockdown pabandi ki khilaaf warzi par ab tak 1.2 lakh gadiyoun ko zabt kiya hai. Ye gadiyaan 22 March se riyasat bhar mein khilaaf warzi karne waloun ke khilaaf tazirat hind ki mukhtalif daf-aat ke tehat 8320 muqadmaat darj karne ke baad zabt ki gayeen hain. Zabt shuda gadiyoun mein 4818 Three Wheeler, 3390 Cars aur 539 deegar gadiyaan bhi shaamil hain. Police ohdedaroun ne kaha ke is Lockdown mein riyasat ke mukhtalif Check Post par tainaat Police ke zareya khilaaf warzi karne waloun ke khilaaf karwai shaamil hai taakay logoun ko apni rahaish gaahoun se baher janey se rokk sakay.

Ohdedaroun ne bataya ke 21 April ko 181 teen phaiyoun, 290 Cars aur 5 deegar gadiyoun ke alawa qareeb 7000 do phaiyoun ki gadiyaan bhi zabt ki gayi hain chunkay Police ne Lockdown ko mazeed sakhti se nafiz karne ka faisla kiya hai, Lehaza agar gadiyoun ke malikaan baghair kisi wajah ke baher nikal jatay hain to mazeed gadiyaan zabt karli jayengi.

Malikaan Lockdown ke baad hi adalat se apni gaadi wapas le satke hain. Ek Police ahelkaar ne mashwara diya ke hum logoun se darkhwast karte hain ke wo sirf ghar mein hi rahen aur ghair zurori harkat na karen. Police ko un afraad ki shanakht ke saboot aur dastawizaat ki jaanch padtaal karte dekha gaya ju khezayi ashya ya deegar zurori samaan kharidne ya kisi hungami zaroorat ki takmeel ke liye gharoun se baher nikal rahay they. –YTN STAFF