Osmania University

Slider

Telangana ki Universities maali bohraan ka shikaar

By News Desk Roman Urdu

November 06, 2020

Hyderabad: Telangana mein reyasti jamiyaat ( University ) ko maali bohraan ka khadsha hai. Telangana ko hamesha apne taleemi idaron par bohat fakhr raha hai. Taham, Ab kuch saal se Osmania University aur Kakatiya University samait Telangana ke mukhtalif Universition ko shadeed maali bohraan ka saamna hai. Osmania University asatezaa Association ( OUTA ) ke mutabiq, University ko kuch Funds masool hue taham haliya saal mein inhen maali madad ke liye sakht mehnat karni padi.

Mazkoorah Association ke sadar Professor B Manohar ne kaha hai ke Osmania University ko thankhowa ki adaigi ke liye taqreeban 300 crore rupay masool hue taham University ka kharch is se kahin ziyada hai. Ek baar jab Funds khatam ho jaien to hamein dobarah hukoomat ke paas jana pade ga, Funds dhondhna hon ge aur phir tankhwahin deeni hon gi.

Kuch saal se taleemi saal ke dosray nisf hissay mein tankhwahon mein hamesha takheer horahee hai. Is ke ilawa, Guzashta saal hukoomat ne earzi amlay ki tankhwahon mein bhi izafah kiya tha. Chunkay University mein taraqqi horahee hai intizamia ko waqtan foqtan moahida par Teaching aur Non Teaching Faculties ki khidmaat haasil karna padtee hain, Un ki adaigi aur mustaqil amlah hamesha ek masla rehta hai. Alawa azeen ziyada tar Funds tankhwahon ki adaigi mein istemaal hoti hain is liye University ko taraqiyati mansoobon ke liye dosray wasail par inhisaar karna padta hai. Osmania University Teachers Association ke naib sadar Professor A Krishan ne kaha hum mukhtalif mansoobon aur University ki taraqqi ke liye UGC ki madad par inhisaar karte hain. Dar haqeeqat agarchay Labs hain University ke paas kuch bhi barqarar rakhnay ke liye funds nahi hain.

Bad qismati se Kakatiya University ko bhi unhi masail ka saamna hai. Kakatiya University asatezaa Association ke sadar Professor Melikarjana Reddy ne kaha ke OU ko har saal 80 crore rupiye mukhtas kiye jatay hain, Jabkay University ka salana kharch taqreeban 120 crore rupiye hai. Hum kisi nah kisi terhan intizam karte hain, Taham waqt par tankhwahon ki adaigi ek badi pareshani hai. Yahan bhi kayi baar tehqeeqi kamon ke liye Funds nahi meltay hain. Funds ki kami ki wajah se University ki bunyadi dhanchay ki taraqqi bhi pareshani ka shikaar hai. Zaraye ke mutabiq reyasti hukoomat tamam mamlaat se waaqif hai aur Funds mein izafay ke liye mutadid baar rujoo kiya gaya hai, Lekin unhoun ne is par tawajah nahi di.