Business

Telangana ki majmoi gharelo pedawar GSDP mein 10. 4 feesad farogh : KTR

By Abdul Aziz

June 04, 2018

Hyderabad. wazeer sanat Mr. K. T. Rama Rao ny aaj mehakma sanat ki salana report Hyderabad mein jari ki. is taqreeb se khitaab karte hue wazeer ny kaha ke tijarat ko sahal bananay mein Telangana pehlay rank mein hai, tea s. aayi paas sarmaya kaari ko Raghib karne mein apna rule ada kya hai. June 2015 se jab yeh tareeqa car roshnaas karwaya gaya 1. 23 laakh crore rupay ki sarmaya kaari hui hai jis mein 47 fisad guzishta maali saal ka hissa hai. unhon ny bataya ke riyasat ny majmoi reyasti gharelo pedawar ( jee s d pi ) mein 10. 4 feesad farogh haasil kya hai jabkay salana qaumi ost 6. 6 feesad raha hai. Mr. K. T. Rama Rao ny kaha ke qaumi majmoi gharelo pedawar par Telangana ki maeeshat ka hissa barha hai jo saal 2017-18 mein 4. 37 feesad tha jabkay yeh 2016-17 mein 4. 28 feesad tha. wazeer ny kaha ke 2017-18 ke douran TSIIS kalidi infrastructures ke sath 148 Insdustrial Parks farogh dyie aur 460 sanaton ke liye 195. 25 crore rupay allot kiye.