Slider

Telangana ke Jurala Project ki satah mukammal. 7 darwazoun ke zareya pani chouda gaya

By News Desk Roman Urdu

July 18, 2020

Gadwal: Telangana ke Jogulamba Gadwal zila ke Jurala Project ki aabi satah mukammal honay ke baad is ke 7 darwazay kholtey hue pani ko chouda gaya. Hukkaam ne 7 darwazoun ke zareya 83,779 cusecs  pani chouda. Is project ki mukammal aabi satah 318.516 meter hai taham is ki mojooda satah aabb 318.100 meter darj ki gayi. Hukkaam ne is project ke darwazay khole kyunkay is mein 75000 cusecs  pani ka bahao dikhagya. Isi douran Srisialam Project mein pani ke bahav main izafah huwa hai.

Jurala project se pani choudne ke baad is ki aabi satah mein izafah darj kiya gaya hai. Jurala se is project ke liye 87,317 cusecs pani chouda gaya. Is Reservoir  ki mukammal aabi satah 885 Feet hai jabkay is ki mojooda satah aabb 831.40 Feet darj ki gayi. Is ki satah aabb mein izafah ke baad Kalvakurthi  Lift Irrigation Project ke zareya Srisialam se 1600 cusecs pani chouda gaya.