Hyderabad : Telangana hukoomat ne itwaar se corona ke naye andaaz mein pesh karna shuru kiya hai.
Rozana amwaat, marnay walon ki tadaad ki tafseelaat par mabni ye bulletin jari kiya jata hai taham itwaar se naye andaaz mein ye bulletin jari kiya gaya hai.
Hafta ko ek hi din mein riyasat mein 1593 mamlaat darj kiye gaye. jumla 15,654 afraad ki jaanch ki gayi. 998 afraad ruba sehat hue. 8 afraad ki mout hui aur riyasat ke beshtar haspatalon mein 12, 264 afraad ka ilaaj kiya jaraha hai. Is bulletin mein riyasat ke haspatalon, bistaroun ki tadaad, ICU mein zair-e-ilaj afraad ki tadaad, ventilators ki tadaad ki tafseelaat bhi faraham ki gayi hain.
Is bulletin ko jamey bananay ki hukoomat ki janib se koshishen ki gayi hain. Zila-vari tour par un haspatalon ki bhi nishandahi ki gayi hai jahan rapid test corona ke kiye jarahay hain.