Hyderabad

Telangana High Court ne Secretariat ki qadeem imaartoun ko munhadim karne ke hukum iltiwa mein towsee kar di

By News Desk Roman Urdu

July 15, 2020

Hyderabad: Telangana High Court ney Certificate ki qadeem imaartoun ko munhadim karne ke khilaaf jari kardah hukum iltiwa mein kal tak ke liye towsee kar di hai. Is silsila mein adalat ney ehkaam jari kiye. PL Vishweshwar Rao  ki janib se daakhil kardah arzi ki samaat karte hue high court nay aaj mukammal tafseelaat par mabni halaf nama daakhil karne ki hukoomat ko hidayat di thi. Adalat nay is maamla ki samaat karte hue kal tak ke liye is hukum iltiwa ko jari rakhnay ke liye taaza ehkaam jari kiye.

unhoun ne kaha ke GHMC se is silsila mein manzoori li gayi hai taham purani imaartoun ko munhadim karne ke liye maholiyati manzoori darkaar nahi hai. Unhoun ne adalat se kaha ke hukoomat nai imaartoun ki taamer ke liye maholiyati manzoori haasil kere gi. Reyasti hukoomat ne aaj adalat mein kabeena ki is silsila mein manzora qarardaden pesh kee. Adalat ne kal tak ke liye is maamla ki samaat multawi kar di. PL Vishweshwar Rao ki janib se daakhil kardah darkhwast ki samaat karte hue high court nay aaj mukammal tafseelaat par mabni halaf nama daakhil karne ki hukoomat ko hidayat di thi. Is masla par darkhwast guzar ke wakeel nay kaha ke qadeem imaartoun ke inhedam ke liye maholiyati manzoori ki zaroorat hai taham advocate general Prasad nay adalat se kaha ke qadeem imaartoun ke inhedam ke liye maholiyati manzoori ki zaroorat nahi hai.