Slider

Telangana aur Hyderabad mein pair ko kya phir tofani barish hogi?

By News Desk Roman Urdu

October 17, 2020

Hyderabad: Is se pehlay ke Telangana 13 October ke qayamat sughra se honay walay tabahi se mukammal tor par azad hosakay ek aur tofani barish ki pesh qiyaasi ki gayi hai. Hindustani mehakma mosmiyat ke mutabiq samandar mien kam dabao ke ilaqay ki tawaqqa hai jo kay 19 October ke aas paas wasti khaleej par tashkeel paye ga jis se Telangana mein 2 din tak shadeed barish honay ka khadsha hai. Imkaan hai ke October 19 ke 24 ghanton ke baad kam dabao ka ilaqa ziyada numaya hojaye ga. June aur 19 October ke darmiyani arsa mein yeh 11 wahn kam dabao ka waqea hoga kyunkay is barsaat ke mausam mein khaleej Bengal mein kam az kam 10 kam dabao ke nizaam tashkeel paye hain. Hukkaam ke mutabiq riyasat Telangana mein is tofani barish mein ab tak taqreeban 50% barish un 10 mousmi nizaam ki wajah se hui hai. August mein 5 aisay mousmi nizaam dekhnay mein aaye, September mein 2 aur June, July, October mein bal tarteeb 1 kam dabao ka nizaam dekha gaya hai. kam dabao jo khaleej Bengal mein 19 tareekh ko peda hoga is se riyasat bhar mein barish ki pesh qiyaasi ki gayi hai jabkay Hyderabad se bilkul neechay janoobi Telangana mein shadeed barish ka khadsha hai.

Taham kam dabao ki pesh qiyaasi ka abhi tak pata nahi chal saka hai. Mausam ke namoonay kam andaza kar satke hain ya is se ziyada pesh qiyaasi kar saktay hain jaisa ke is haftay ke aaghaz mein dekha gaya tha. Darin asna IMD ne riyasat ke allag allag maqamat par 19 se 20 October ke douran intehai bhaari barFIish ka intibah jari kiya hai. Imkaan hai ke is season mein Dussehra tak baarisho ka silsila jari rahay ga. Riyasat mein abhi tak, TSDPS ke mutabiq yakam se 16 October 2020 tak Monsoon ki majmoi barish 133.3 millimeter hai, Jabkay aam 64.0 millimeter ke muqablay mein 108 feesad se ziyada hochuki hai. Yakam June 2020 se 16 October 2020 tak riyasat ki majmoi barish 1,211.6 Millimeter hai, Aam tor par 784.4 millimeter ke muqablay mein 54 feesad se ziyada hui hai. Darin asna 17 aur 18 October ke douran, Adilabad, Khammam, Mancherial, mein halki se darmiyani barish ki tawaqqa hai. Baqi zilon mein Nalgonda, Bhongir, Mehboobabad Siddipet, Medchal. Malkajgiri, Gyderabad, Rangareddy, Medak aur Kamareddy azlaa mein halki se bohat halki barish ki pesh qiyaasi ki gayi hai.