Hyderabad : Telangana aur Andhra Pradesh ke awam ke liye kuch raahat mili hai jaisa ke dono Telugu reyastoun ke darmiyan Buses chalanay par ittafaq Hua hai. TSRTC aur APRTC hukkaam ne dono reyaston ke mabain muahiday ke baad barabari ki bunyaad par kilometer par mabni buses chalanay ka faisla kiya hai.
Covid-19 ke wabaa ke baad dono reyaston mein bain reyasti Bus khidmaat moattal kardi gayi theen. Vijaywada mein bain reyasti buses ki khidmaat se mutaliq mubaheson ka ibtidayi daur munaqqid Hua jahan hukkaam ne Kilometers par mabni buses ko chalanay par ittafaq kiya. Telangana ke chief minister KCR ne ohdedaron ko padosi reyaston ke sath aur barabari ki bunyaad par ek naya moahida karne ki Hidayat di hai, iske baad ye baat unke notice mein layi gayi ke dono reyaston ke darmiyam chalaye jaaney wali buses ki tadaad mein farq hai.
APSRTC ke ohdedaron ne kaha hai ke woh 256 buses chalayeinge lekin doosri janib abhi tak TSRTC ne chalanay wali buses ki tadaad ke barey mein faisla nahi kiya hai. ohdedaron ko is baat se la-ilm hain ke ek baar bain reyasti buses shuru hojane ke baad unke chalne ki tajweez kardah buses ki tadaad kiya hogi.
Ohdedaron ney jismani faaslay barqarar rakhnay, buses ki safai suthrayi waghera jaisay covid-19 ke tamam protocol ki pairwi karne ka faisla kiya hai jabkay APSRTC ke ohdedar hamsaaya reyaston karnatak se maahdon par dastakhat kar rahay hain, abhi tak Telangana hukkaam ney is par koi tabadlah khayaal nahi kiya hai. aglay haftay dono corporations ke ohdedaron ke mabain mulakhaton ka ek aur daur munaqid hoga. –YTNSTAFF